shoKH-nazron se jo dekha aapne
shoḳh-nazroñ se jo dekhā aap ne
kar diyā mujh ko tamāshā aap ne
dard merā ban gayā merī davā
kar diyā yuuñ mujh ko achchhā aap ne
intizār jalva-e-dīdār thā
kar diyā va.ade kā iifā aap ne
husn ke anvār se dil ko kiyā
jalva-zār-e-tūr-e-sīnā aap ne
kar ke begāna zamāne se hameñ
kar liyā āḳhir ko apnā aap ne
vāqi.a dil kā hai kitnā muḳhtasar
maiñ ne khoyā aur paayā aap ne
'kaif' dil hī dil meñ karatā thā fuġhāñ
kar diyā kyuuñ raaz ifshā aap ne
shoKH-nazron se jo dekha aap ne
kar diya mujh ko tamasha aap ne
dard mera ban gaya meri dawa
kar diya yun mujh ko achchha aap ne
intizar jalwa-e-didar tha
kar diya wade ka ifa aap ne
husn ke anwar se dil ko kiya
jalwa-zar-e-tur-e-sina aap ne
kar ke begana zamane se hamein
kar liya aaKHir ko apna aap ne
waqia dil ka hai kitna muKHtasar
main ne khoya aur paya aap ne
'kaif' dil hi dil mein karata tha fughan
kar diya kyun raaz ifsha aap ne
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.XI (Pg. 235)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.