inayat ka ishaara chahta hun
ināyat kā ishārā chāhtā huuñ
mohabbat ko sañvārā chāhtā huuñ
guzar bhī jaa.eñ do din zindagī ke
tire dar kā sahārā chāhtā huuñ
yahī āñkhoñ kā maqsūd-e-nazar hai
tire ruḳh kā nazārā chāhtā huuñ
nafs ke āmad-o-shud meñ rahe tū
tujhe har dam pukārā chāhtā huuñ
rah-e-ulfat meñ haiñ lākhoñ bayābāñ
junūñ terā sahārā chāhtā huuñ
azal se ġharq huuñ bahr-e-alam meñ
abad kā ab kinārā chāhtā huuñ
hazāroñ zindagī pāūñ to sab ko
mohabbat meñ guzāra chāhtā huuñ
mohabbat ke samundar meñ abas 'kaif'
safīna yā kinārā chāhtā huuñ
inayat ka ishaara chahta hun
mohabbat ko sanwara chahta hun
guzar bhi jaen do din zindagi ke
tere dar ka sahaara chahta hun
yahi aankhon ka maqsud-e-nazar hai
tere ruKH ka nazara chahta hun
nafs ke aamad-o-shud mein rahe tu
tujhe har dam pukara chahta hun
rah-e-ulfat mein hain lakhon bayaban
junun tera sahaara chahta hun
azal se gharq hun bahr-e-alam mein
abad ka ab kinara chahta hun
hazaron zindagi paun to sab ko
mohabbat mein guzara chahta hun
mohabbat ke samundar mein abas 'kaif'
safina ya kinara chahta hun
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.XI (Pg. 236)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.