tumhein dukh bhari kahani mein sunaun kya zabani
tumheñ dukh bharī kahānī meñ sunā.ūñ kyā zabānī
mare ashk kar rahe haiñ mere ġham kī tarjumānī
kise sar uThāne degī tirī teġh-e-naujavānī
hai sitam kī ik ravānī hai chaḌhā ġhazab kā paanī
vo jo mehrbāñ thā apnā vahī aaj bad-gumāñ hai
ye nasheb zindagānī vo farāz zindagānī
mirā dil vafā-talab hai tirā dil vafā se ḳhālī
unheñ do diloñ ne likh dī ġham-e-ishq kī kahānī
mujhe jaan se ziyāda hai aziiz daaġh dil kā
ki yahī to hai kisī kī mare paas ik nishānī
kisī be-vafā se ai dil ho ummīd kyā vafā kī
tirī kāvisheñ abas haiñ nahii. kuchh bhī honī jaanī
koī kah de ye 'nazar' se use fikr-e-vasl kyuuñ hai
ki firāq-e-zindagānī meñ hai aish jāvedānī
tumhein dukh bhari kahani mein sunaun kya zabani
mare ashk kar rahe hain mere gham ki tarjumani
kise sar uThane degi teri tegh-e-naujawani
hai sitam ki ek rawani hai chaDha ghazab ka pani
wo jo mehrban tha apna wahi aaj bad-guman hai
ye nasheb zindagani wo faraaz zindagani
mera dil wafa-talab hai tera dil wafa se KHali
unhen do dilon ne likh di gham-e-ishq ki kahani
mujhe jaan se ziyaada hai aziz dagh dil ka
ki yahi to hai kisi ki mare pas ek nishani
kisi be-wafa se ai dil ho ummid kya wafa ki
teri kawishen abas hain nahi kuchh bhi honi jaani
koi kah de ye 'nazar' se use fikr-e-wasl kyun hai
ki firaq-e-zindagani mein hai aish jawedani
- Book : Tazkira Muslim shora-e-Bihar-Voll.5 (Pg. 79)
- Author : Hakeem Syed Ahmadullah Nadwi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.