meri chashm-e-surmagin se na nigah-e-dil-nashin se
merī chashm-e-surmagīñ se na nigāh-e-dil-nashīñ se
ye falak meñ larzisheñ haiñ mirī āh-e-ātishīñ se
na surūr-e-sālihīñ se na nishāt-e-kāmilīñ se
mirī ruuh mutma.in hai tirī zulf-e-’ambarīñ hai
maiñ junūñ meñ kah rahā thā shab-e-hijr kā fasāna
kabhī kahte-kahte bhūlā kabhī kah uThā kahīñ se
dar-e-yār par marūñgā ye maiñ kah chukā huuñ zāhid
mirī ziist hai ’ibārat usī paak sarzamīñ se
ye junūn-e-'ishq kyā hai ye faroġh-e-husn-e-barham
ki nuqūsh-e-kilk-e-qudrat ubhar aa.e haiñ jabīñ se
ye 'ra.ūf' kah rahā hai vo ḳhudāyā ḳhair se hoñ
na koī payām aayā na to ḳhat likhā kahīñ se
meri chashm-e-surmagin se na nigah-e-dil-nashin se
ye falak mein larzishen hain meri aah-e-atishin se
na surur-e-salihin se na nishat-e-kaamilin se
meri ruh mutmain hai teri zulf-e-’ambarin hai
main junun mein kah raha tha shab-e-hijr ka fasana
kabhi kahte-kahte bhula kabhi kah uTha kahin se
dar-e-yar par marunga ye main kah chuka hun zahid
meri zist hai ’ibarat usi pak sarzamin se
ye junun-e-'ishq kya hai ye farogh-e-husn-e-barham
ki nuqush-e-kilk-e-qudrat ubhar aae hain jabin se
ye 'rauf' kah raha hai wo KHudaya KHair se hon
na koi payam aaya na to KHat likha kahin se
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.18 (Pg. 128)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.