meri rangin-bayani se hua husn-e-bayan paida
mirī rañgīñ-bayānī se huā husn-e-bayāñ paidā
mirī rūdād-e-vahshat se huī hai dāstāñ paidā
hayūlā barq ḳhirman kā milā jab husn braham se
'anāsir ke tasādum se hue donoñ jahāñ paidā
kahāñ kā jām-e-jam saaqī kahāñ kā chashma haivāñ
tire rahmat-kade se hoñge ab sāheb-qirāñ paidā
añdherā hī añdherā hai kahāñ jā۔ūñ kise DhūñDūñ
na lagtī aag siine meñ na hotā ye dhuāñ paidā
‘rauf’-e-zār ko dekho tan-e-bīmār ko dekho
butoñ ke naqsh-e-pā se ye karegā kārvāñ paidā
meri rangin-bayani se hua husn-e-bayan paida
meri rudad-e-wahshat se hui hai dastan paida
hayula barq KHirman ka mila jab husn braham se
'anasir ke tasadum se hue donon jahan paida
kahan ka jam-e-jam saqi kahan ka chashma haiwan
tere rahmat-kade se honge ab saheb-qiran paida
andhera hi andhera hai kahan ja۔un kise DhunDun
na lagti aag sine mein na hota ye dhuan paida
‘rauf’-e-zar ko dekho tan-e-bimar ko dekho
buton ke naqsh-e-pa se ye karega karwan paida
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.14 (Pg. 128)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.