saqi teri nigah asar-dar hai to hai
saaqī tirī nigāh asar-dār hai to hai
dīvāna terā tālib-e-dīdār hai to hai
mai tere mai-kade kī mazedār hai to hai
har riñd terī mai kā talab-gār hai to hai
poshīda to jo mujh se mire yaar hai to hai
merī nigāh tālib-e-dīdār hai to hai
rakkhā nahīñ hai ham ne añdheroñ se vāsta
dil meñ ḳhayāl-e-yār ziyā-bār hai to hai
saaqī ye terī mai kā asar jā.egā kahāñ
rindoñ meñ tere jur.at-e-iz.hār hai to hai
us par kahāñ taġhayyur-e-auqāt kā asar
vo merā yaar sāhib-e-kirdār hai to hai
zarra hai kuchh nahīñ hai bisāt-e-nazar magar
jab tum ne kah diyā ki vo fankār hai to hai
saqi teri nigah asar-dar hai to hai
diwana tera talib-e-didar hai to hai
mai tere mai-kade ki mazedar hai to hai
har rind teri mai ka talab-gar hai to hai
poshida to jo mujh se mere yar hai to hai
meri nigah talib-e-didar hai to hai
rakkha nahin hai hum ne andheron se wasta
dil mein KHayal-e-yar ziya-bar hai to hai
saqi ye teri mai ka asar jaega kahan
rindon mein tere jurat-e-izhaar hai to hai
us par kahan taghayyur-e-auqat ka asar
wo mera yar sahib-e-kirdar hai to hai
zarra hai kuchh nahin hai bisat-e-nazar magar
jab tum ne kah diya ki wo fankar hai to hai
- Book : Sukhanwaran-e-Izzat (Pg. 257)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.