sharab-e-shauq ka mastana hun main
sharāb-e-shauq kā mastāna huuñ maiñ
are saaqī tirā dīvāna huuñ meñ
ḳhayāl-e-yār meñ misl-e-zuleḳhā
asīr-e-gesū-e-jānāna huuñ maiñ
kisī kī justujū meñ kho gayā huuñ
'azīzoñ se bhī ab begāna huuñ maiñ
nazar aatā nahīñ juz yaar mujh ko
jamāl-e-yār kā dīvāna huuñ maiñ
sanam dil meñ mire maskan-guzīñ hai
but-e-be-pīr kā but-ḳhāna huuñ maiñ
nigāhoñ meñ vo but dil meñ ḳhudā hai
kabhī masjid kabhī but-ḳhāna huuñ maiñ
dil-o-jāñ se sanam par maiñ fidā huuñ
sham' hai yaar to parvāna huuñ maiñ
falātūñ ho na kyuuñ kar merā qātil
ki rāh-e-'ishq meñ farzāna huuñ maiñ
havā-e-gulshan-e-rizvān se kyā kaam
jamāl-e-yār kā parvāna huuñ maiñ
firāq-e-yār meñ majnūñ banā huuñ
misāl-e-āhu-e-vīrāna huuñ maiñ
kaḌī jhelī hai kyā-kyā maiñ ne ai 'abr'
usī par naaz hai mardāna huuñ maiñ
sharab-e-shauq ka mastana hun main
are saqi tera diwana hun mein
KHayal-e-yar mein misl-e-zuleKHa
asir-e-gesu-e-jaanana hun main
kisi ki justuju mein kho gaya hun
'azizon se bhi ab begana hun main
nazar aata nahin juz yar mujh ko
jamal-e-yar ka diwana hun main
sanam dil mein mere maskan-guzin hai
but-e-be-pir ka but-KHana hun main
nigahon mein wo but dil mein KHuda hai
kabhi masjid kabhi but-KHana hun main
dil-o-jaan se sanam par main fida hun
sham' hai yar to parwana hun main
falatun ho na kyun kar mera qatil
ki rah-e-'ishq mein farzana hun main
hawa-e-gulshan-e-rizwan se kya kaam
jamal-e-yar ka parwana hun main
firaq-e-yar mein majnun bana hun
misal-e-ahu-e-virana hun main
kaDi jheli hai kya-kya main ne ai 'abr'
usi par naz hai mardana hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.