abru ne chashm-e-naz ne mizhgan-e-yar ne
abrū ne chashm-e-nāz ne mizhgān-e-yār ne
ghāyal kiyā mujhe inhīñ do-tīn-chār ne
vaa.iz ġharaz ye thī ki dar-e-but-kada pe ham
dar-parda kal ga.e the kisī ko pukārne
āshiq hazāroñ sūrat-e-parvāna gir paḌe
ulTī naqāb ruḳh se jo mahfil meñ yaar ne
saudā rahā ki ishq-e-butāñ meñ hai fā.eda
ham ko kiyā tabāh isī kār-o-bār ne
kyuuñ bār-bār jaa.eñ na ham kū-e-yār meñ
majbūr kar diyā hai dil-e-be-qarār ne
lāzim nahīñ buto tumheñ da.avā ḳhudā.ī kā
paidā kiyā hai is liye kyā kirdgār ne
majbūr ho ke baiTh rahe kū-e-yār meñ
ham ko javāb de diyā jab iḳhtiyār ne
dil bahr-e-nazr yaar ke aage jo le ga.e
bolā ki aap laa.e haiñ sadqa utārne
sahrā meñ Thahre aur kabhī dasht meñ phire
ham ko dikhā.ī sair ye fasl-e-bahār ne
'aughat' ġhurūr kyuuñ na butoñ ko ho is qadar
un ko hasīñ banāyā hai parvardigār ne
abru ne chashm-e-naz ne mizhgan-e-yar ne
ghayal kiya mujhe inhin do-tin-chaar ne
waiz gharaz ye thi ki dar-e-but-kada pe hum
dar-parda kal gae the kisi ko pukarne
aashiq hazaron surat-e-parwana gir paDe
ulTi naqab ruKH se jo mahfil mein yar ne
sauda raha ki ishq-e-butan mein hai faeda
hum ko kiya tabah isi kar-o-bar ne
kyun bar-bar jaen na hum ku-e-yar mein
majbur kar diya hai dil-e-be-qarar ne
lazim nahin buto tumhein dawa KHudai ka
paida kiya hai is liye kya kirdgar ne
majbur ho ke baiTh rahe ku-e-yar mein
hum ko jawab de diya jab iKHtiyar ne
dil bahr-e-nazr yar ke aage jo le gae
bola ki aap lae hain sadqa utarne
sahra mein Thahre aur kabhi dasht mein phire
hum ko dikhai sair ye fasl-e-bahaar ne
'aughat' ghurur kyun na buton ko ho is qadar
un ko hasin banaya hai parwardigar ne
- Book : Faizan-e-Warsi Al-Maruf Zamzama-e-Qawwali (Pg. 16)
- Author : Aughat Shah Warsi
- Publication : Jayyad Barqi Press, Delhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.