ajib karb sa dil mein basae rakha hai
ajiib karb sā dil meñ basā.e rakhā hai
kisī kī yaad se dil ko sajā.e rakhā hai
sabhī ne oḌh rakhī hai munāfiqat kī ridā
tamām shahar ne chehrā chhupā.e rakhā hai
vafā kā dard hai aisā ki jaise koh-e-girāñ
shab-e-firāq meñ dariyā bahā.e rakhā hai
namāz shauq-e-vasīla hai sirf milne kā
vuzū ke saath hī sar ko jhukā.e rakhā hai
tujhe to bhūlnā mumkin nahii. thā mere liye
so ek sho.ala sā dil meñ jalā.e rakhā hai
junūn-e-ishq meñ apnā patā nahii. 'balkHī'
tirī hī diid pe sab ko bhulā.e rakhā hai
ajib karb sa dil mein basae rakha hai
kisi ki yaad se dil ko sajae rakha hai
sabhi ne oDh rakhi hai munafiqat ki rida
tamam shahar ne chehra chhupae rakha hai
wafa ka dard hai aisa ki jaise koh-e-giran
shab-e-firaq mein dariya bahae rakha hai
namaz shauq-e-wasila hai sirf milne ka
wuzu ke sath hi sar ko jhukae rakha hai
tujhe to bhulna mumkin nahi tha mere liye
so ek shoala sa dil mein jalae rakha hai
junun-e-ishq mein apna pata nahi 'balkHi'
teri hi did pe sab ko bhulae rakha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.