ye ThanDi ThanDi hawa ke jhonke KHizan ki buniyaad rakh rahe hain
ye ThanDi ThanDi hawa ke jhonke KHizan ki buniyaad rakh rahe hain
Jurm Muhammadabadi
MORE BYJurm Muhammadabadi
ye ThanDī ThanDī havā ke jhoñke ḳhizāñ kī buniyād rakh rahe haiñ
khulegā raaz bahār-e-gulshan-e-tilism TūTegā jab kalī kā
Tapak ke dāman pe kah rahe haiñ ye merī majbūriyoñ ke aañsū
ḳhudī kā ehsās kar ke jiinā mazāq uḌānā hai zindagī kā
ḳhilāf-e-fitrat nahīñ mohabbat ye sach hai maiñ māntā huuñ lekin
samajh ke ai 'jurm' dil lagānā nibāh mushkil hai dostī kā
ye ThanDi ThanDi hawa ke jhonke KHizan ki buniyaad rakh rahe hain
khulega raaz bahaar-e-gulshan-e-tilism TuTega jab kali ka
Tapak ke daman pe kah rahe hain ye meri majburiyon ke aansu
KHudi ka ehsas kar ke jina mazaq uDana hai zindagi ka
KHilaf-e-fitrat nahin mohabbat ye sach hai main manta hun lekin
samajh ke ai 'jurm' dil lagana nibah mushkil hai dosti ka
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.I (Pg. 125)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.