Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

tegh-e-abru ka tumhaare kis qadar tez aab tha

Abul Hayat Qadri

tegh-e-abru ka tumhaare kis qadar tez aab tha

Abul Hayat Qadri

MORE BYAbul Hayat Qadri

    teġh-e-abrū tumhāre kis qadar tez aab thā

    sāmne us ke jo aayā phir vahī sairāb thā

    āfrīñ us dast-o-bāzū par ki pahle vaar meñ

    har rag-e-jāñ se mire favvāra-e-kHūñ naab thā

    said-gah meñ jo nikālā tiir tum ne surḳh thā

    kushtagāñ ḳhuuñ lagā thā par-e-surḳhāb thā

    'ishq meñ be-kār dekhā tāj-o-takHt-o-farsh-e-gil

    qais ko har kHār-e-farsh qāqum-o-sanjāb thā

    ashk-e-hasrat se mire āḳhir girā naḳhl-e-murād

    haañ magar ek nakHl-e-nau-mīdī so vo shādāb thā

    sail-e-dariyā-e-mohabbat 'ijz ham ko le gayā

    'ishq tūfān thā har mauj meñ girdāb thā

    tegh-e-abru ka tumhaare kis qadar tez aab tha

    samne us ke jo aaya phir wahi sairab tha

    aafrin us dast-o-bazu par ki pahle war mein

    har rag-e-jaan se mere fawwara-e-kHun nab tha

    said-gah mein jo nikala tir tum ne surKH tha

    kushtagan ka KHun laga tha ya par-e-surKHab tha

    'ishq mein be-kar dekha taj-o-takHt-o-farsh-e-gil

    qais ko har kHar-e-farsh qaqum-o-sanjab tha

    ashk-e-hasrat se mere aaKHir gira naKHl-e-murad

    han magar ek nakHl-e-nau-midi so wo shadab tha

    sail-e-dariya-e-mohabbat 'ijz hum ko le gaya

    'ishq ka tufan tha har mauj mein girdab tha

    Source :
    • Book : Al-Mujeeb, Phulwari Sharif (Pg. 35)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now