aapne samne jab rakha aaina
aap ne sāmne jab rakhā ā.īna
ā.īna dekhtā rah gayā ā.īna
ā.īna sharm se paanī paanī huā
ban ga.ī aap kī har adā ā.īna
sādgī bhī qiyāmat se kuchh kam nahii.
sādgī hai tire husn kā ā.īna
tū ne phūloñ ko gulshan meñ rauñdā magar
ban gayā terā har naqsh-e-pā ā.īna
maiñ bhī dekhūñ 'adīb' un kī jalva-garī
jin ke partav se dil ban gayā ā.īna
aap ne samne jab rakha aaina
aaina dekhta rah gaya aaina
aaina sharm se pani pani hua
ban gai aap ki har ada aaina
sadgi bhi qiyamat se kuchh kam nahi
sadgi hai tere husn ka aaina
tu ne phulon ko gulshan mein raunda magar
ban gaya tera har naqsh-e-pa aaina
main bhi dekhun 'adib' un ki jalwa-gari
jin ke partaw se dil ban gaya aaina
- Book : Sukhanwaraan-e-Watan (Pg. 69)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.