andhere shahar mein miTTi ka ek diya bhi nahin
añdhere shahar meñ miTTī kā ik diyā bhī nahīñ
aur āsmāñ se koī taarā TūTtā bhī nahīñ
vo kyā samajh ga.e maiñ us ko jāntā bhī nahīñ
zabāñ pe merī koī harf-e-mudda.ā bhī nahīñ
ye tīrgī ye ḳhamoshī ye shab ye tanhā.ī
kisī ke duur se aane kī kuchh sadā bhī nahīñ
misāl-e-ā.īna hairān hai har ik insāñ
yahāñ pe koī kisī se to boltā bhī nahīñ
hazf ke Dher meñ ro.e haiñ kitne la.al-o-gohar
vafā-shanās koī un ko dekhtā bhī nahīñ
junūñ meñ had se baḌhā jaatā huuñ 'adīb' magar
qarīb aa ke koī mujh ko roktā bhī nahīñ
andhere shahar mein miTTi ka ek diya bhi nahin
aur aasman se koi tara TuTta bhi nahin
wo kya samajh gae main us ko jaanta bhi nahin
zaban pe meri koi harf-e-muddaa bhi nahin
ye tirgi ye KHamoshi ye shab ye tanhai
kisi ke dur se aane ki kuchh sada bhi nahin
misal-e-aina hairan hai har ek insan
yahan pe koi kisi se to bolta bhi nahin
hazf ke Dher mein roe hain kitne lal-o-gohar
wafa-shanas koi un ko dekhta bhi nahin
junun mein had se baDha jata hun 'adib' magar
qarib aa ke koi mujh ko rokta bhi nahin
- Book : Sukhanwaraan-e-Watan (Pg. 69)
- Author : Riyaz Gayavi
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.