banda bana raha hai husn-e-kalam tera
banda banā rahā hai husn-e-kalām terā
duniyā mutī.a terī aalam ġhulām terā
hastī kī manziloñ meñ duniyā kī koshishoñ se
itnā pata chalā hai dil hai maqām terā
ai ġhārat gar-e-zamāna duniyā kā sun fasāna
kis kis tarah hai aayā kahne meñ naam terā
vo koī aur haiñ jo masrūf-e-mai-kashī haiñ
ham dekhte haiñ saaqī husn-e-nizām terā
duniyā-e-rañg-o-bū ke pāmāl karne vaale
mahshar bhī muntazir hai mahv-e-ḳhirām terā
maiñ kyā batā.ūñ tujh ko kahtā hai kyā zamāna
ai bāġhbāñ hai ab to sayyād naam terā
jazbāt kā bayāñ hai sharh-e-ġham-e-nihāñ hai
maqbūl ho na kyuuñ phir 'afqar' kalām terā
banda bana raha hai husn-e-kalam tera
duniya mutia teri aalam ghulam tera
hasti ki manzilon mein duniya ki koshishon se
itna pata chala hai dil hai maqam tera
ai ghaarat gar-e-zamana duniya ka sun fasana
kis kis tarah hai aaya kahne mein nam tera
wo koi aur hain jo masruf-e-mai-kashi hain
hum dekhte hain saqi husn-e-nizam tera
duniya-e-rang-o-bu ke pamal karne wale
mahshar bhi muntazir hai mahw-e-KHiram tera
main kya bataun tujh ko kahta hai kya zamana
ai baghban hai ab to sayyaad nam tera
jazbaat ka bayan hai sharh-e-gham-e-nihan hai
maqbul ho na kyun phir 'afqar' kalam tera
- Book : Tazkira Sho.ara-e-Warsia (Pg. 95)
- Publication : Fine Books Pritnters (1993)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.