husn ki tere jis ko KHabar ho gai
husn kī tere jis ko ḳhabar ho ga.ī
zindagī us kī vaqf-e-nazar ho ga.ī
un kī ā.īna par jab nazar ho ga.ī
merī duniyā idhar kī udhar ho ga.ī
ab na vo gul rahe aur na vo gul-sitāñ
chāñdnī chār-din kī magar ho ga.ī
us kī duniyā kā aalam hī kuchh aur hai
jis kī duniyā tumhārī nazar huī ga.ī
mujh ko ab sañg-e-dar kī zarūrat nahīñ
jab ki ḳhud hī jabīñ sañg-e-dar ho ga.ī
mere sajdoñ kā un ko yaqīñ aa gayā
bandagī ab mirī mo'atabar ho ga.ī
mirī mashq-e-tasavvur kī dekho kashish
un kī tasvīr pesh-e-nazar ho ga.ī
kis ko achchhā kaheñ kis ko samjheñ burā
saarī duniyā fareb-e-nazar ho ga.ī
dekh kar un ko 'afqar' dam-e-vāpsīñ
zindagī mirī bār-e-digar ho ga.ī
husn ki tere jis ko KHabar ho gai
zindagi us ki waqf-e-nazar ho gai
un ki aaina par jab nazar ho gai
meri duniya idhar ki udhar ho gai
ab na wo gul rahe aur na wo gul-sitan
chandni chaar-din ki magar ho gai
us ki duniya ka aalam hi kuchh aur hai
jis ki duniya tumhaari nazar hui gai
mujh ko ab sang-e-dar ki zarurat nahin
jab ki KHud hi jabin sang-e-dar ho gai
mere sajdon ka un ko yaqin aa gaya
bandagi ab meri mo'atabar ho gai
meri mashq-e-tasawwur ki dekho kashish
un ki taswir pesh-e-nazar ho gai
kis ko achchha kahen kis ko samjhen bura
sari duniya fareb-e-nazar ho gai
dekh kar un ko 'afqar' dam-e-wapsin
zindagi meri bar-e-digar ho gai
- Book : Tazkira Sho.ara-e-Warsia (Pg. 95)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.