falak lakh bijli giraata rahega
falak laakh bijlī girātā rahegā
jahāñ hai vahīñ āshiyāna rahegā
salāmat jo mashq-e-tasavvur hai to phir
tumhārā hī har samt jalva rahegā
vo duniyā to jaane jo maiñ jāntā huuñ
tū hī hāsil-e-bazm-e-duniyā rahegā
mujhe Duub jaane do phir dekh lenā
na sāhil na tūfāñ na dariyā rahegā
jahāñ tak na aa.egī niiñd un ko sun kar
vahīñ tak hamārā fasāna rahegā
na tum apne ahd-e-mohabbat ko badlo
zamāna to karvaT badaltā rahegā
to ban jā.egā ek din dil kā darmāñ
jo har rose kuchh dard baḌhtā rahegā
gila un se kyā bevafā.ī kā 'afqar'
ḳhabar kyā thī dil hī na apnā rahegā
falak lakh bijli giraata rahega
jahan hai wahin aashiyana rahega
salamat jo mashq-e-tasawwur hai to phir
tumhaara hi har samt jalwa rahega
wo duniya to jaane jo main jaanta hun
tu hi hasil-e-bazm-e-duniya rahega
mujhe Dub jaane do phir dekh lena
na sahil na tufan na dariya rahega
jahan tak na aaegi nind un ko sun kar
wahin tak hamara fasana rahega
na tum apne ahd-e-mohabbat ko badlo
zamana to karwaT badalta rahega
to ban jaega ek din dil ka darman
jo har rose kuchh dard baDhta rahega
gila un se kya bewafai ka 'afqar'
KHabar kya thi dil hi na apna rahega
- Book : Nazargah (Pg. 65)
- Author : Afqar Warsi
- Publication : Siddiq Book Depot, Lucknow (1961)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.