jata kahan hai chhoD ke dard-e-jigar mujhe
jaatā kahāñ hai chhoḌ ke dard-e-jigar mujhe
mamnūn-e-iltifāt-e-masīhā na kar mujhe
dair-o-haram kī qaid se āzād kar mujhe
le chal jabīn-e-shauq dar-e-yār par mujhe
maiñ phir batā.ūñ qibla-e-qaunain kaun hai
taqdīr se mile jo tirā sañg-e-dar mujhe
nāz-e-sitam kā vāsta tujh ko sitam-shi.ār
hañsne na paa.eñ dekh ke zaḳhm-e-jigar mujhe
dil se kahīñ aziiz haiñ dil kī jarāhateñ
rahne de mere haal par ab chāra-gar mujhe
ahl-e-jafā ne phir na uThāyā jafā se haath
lazzat-shanās-e-zulm-o-sitam dekh kar mujhe
behoshiyoñ kā naam thā asrār-e-ma.arifat
kyūñkar harīm-e-nāz kī hotī ḳhabar mujhe
ai ham-navā ināyat-e-sayyād kyā kahūñ
zālim ne sab asīroñ ko chhoḌā magar mujhe
aksar palaT ga.ī hai shab-e-intizār maut
marne na dard-e-dil ne diyā tā-sahar mujhe
ahl-e-niyāz-e-dahr se arz-e-niyāz-e-dil
is vus.at-e-nazar ne kiyā dar-ba-dar mujhe
muddat huī ki barq ne phūñkā thā āshiyāñ
ab tak nasheman aatā hai jaltā nazar mujhe
añgḌā.iyoñ ne khīñch lī saare badan kī ruuh
ab mai ke badle chāhiye jān-e-digar mujhe
aib-o-hunar ko dekhtā 'afqar' jo sāth-sāth
aisā milā na ek bhī ahl-e-hunar mujhe
jata kahan hai chhoD ke dard-e-jigar mujhe
mamnun-e-iltifat-e-masiha na kar mujhe
dair-o-haram ki qaid se aazad kar mujhe
le chal jabin-e-shauq dar-e-yar par mujhe
main phir bataun qibla-e-qaunain kaun hai
taqdir se mile jo tera sang-e-dar mujhe
naz-e-sitam ka wasta tujh ko sitam-shiar
hansne na paen dekh ke zaKHm-e-jigar mujhe
dil se kahin aziz hain dil ki jarahaten
rahne de mere haal par ab chaara-gar mujhe
ahl-e-jafa ne phir na uThaya jafa se hath
lazzat-shanas-e-zulm-o-sitam dekh kar mujhe
behoshiyon ka nam tha asrar-e-marifat
kyunkar harim-e-naz ki hoti KHabar mujhe
ai ham-nawa inayat-e-sayyaad kya kahun
zalim ne sab asiron ko chhoDa magar mujhe
aksar palaT gai hai shab-e-intizar maut
marne na dard-e-dil ne diya ta-sahar mujhe
ahl-e-niyaz-e-dahr se arz-e-niyaz-e-dil
is wusat-e-nazar ne kiya dar-ba-dar mujhe
muddat hui ki barq ne phunka tha aashiyan
ab tak nasheman aata hai jalta nazar mujhe
angDaiyon ne khinch li sare badan ki ruh
ab mai ke badle chahiye jaan-e-digar mujhe
aib-o-hunar ko dekhta 'afqar' jo sath-sath
aisa mila na ek bhi ahl-e-hunar mujhe
- Book : Nazargah (Pg. 75)
- Author : Afqar Warsi
- Publication : Siddiq Book Depot, Lucknow (1961)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.