tujhe aaKHir kahan DhunDhe makin-e-la-makan koi
tujhe āḳhir kahāñ DhūñDhe makīn-e-lā-makāñ koī
na chaltā hai patā koī na miltā hai nishāñ koī
vahīñ kā ho rahā jā kar jo pahuñchā bhī vahāñ koī
na vāpas manzil-e-jānāñ se aayā kārvāñ koī
fazā-e-gulsitāñ ḳhāmosh hai chhā.ī hai tārīkī
sadā detā hai rah rah kar ḳharāb-e-āshiyāñ koī
kahīñ sar hai kahīñ naqsh-e-jabīñ sajde kahīñ par haiñ
huā kis kis tarah miT kar ḳharāb-e-āstāñ koī
azal se lab pe hai ahd-e-vafā kā ek afsāna
zamāna meñ sune kab tak hamārī dāstāñ koī
hameñ ma.alūm hai itnī haqīqat apnī hastī kī
ki ye bhī raaz hai minjumla-e-rāz-e-nihāñ koī
sunātā huuñ maiñ rūdād-e-mohabbat is tavaqqo.a par
milā le apne afsāne meñ merī dāstāñ koī
chamak uTThī hai qismat ek hī sajda meñ kyā kahnā
liye phirtā hai peshānī pe naqsh-e-koī koī
bas itnī shart hai jis par madār-e-vasl-e-jānāñ hai
uThā de darmiyāñ se parda-e-umr-e-ravāñ koī
rah-e-ġhurbat meñ e 'afqar' vo ham gum-karda manzil haiñ
na guzrā is taraf se bhuul kar bhī kārvāñ koī
tujhe aaKHir kahan DhunDhe makin-e-la-makan koi
na chalta hai pata koi na milta hai nishan koi
wahin ka ho raha ja kar jo pahuncha bhi wahan koi
na wapas manzil-e-jaanan se aaya karwan koi
faza-e-gulsitan KHamosh hai chhai hai tariki
sada deta hai rah rah kar KHarab-e-ashiyan koi
kahin sar hai kahin naqsh-e-jabin sajde kahin par hain
hua kis kis tarah miT kar KHarab-e-astan koi
azal se lab pe hai ahd-e-wafa ka ek afsana
zamana mein sune kab tak hamari dastan koi
hamein malum hai itni haqiqat apni hasti ki
ki ye bhi raaz hai minjumla-e-raaz-e-nihan koi
sunata hun main rudad-e-mohabbat is tawaqqoa par
mila le apne afsane mein meri dastan koi
chamak uTThi hai qismat ek hi sajda mein kya kahna
liye phirta hai peshani pe naqsh-e-koi koi
bas itni shart hai jis par madar-e-wasl-e-jaanan hai
uTha de darmiyan se parda-e-umr-e-rawan koi
rah-e-ghurbat mein e 'afqar' wo hum gum-karda manzil hain
na guzra is taraf se bhul kar bhi karwan koi
- Book : Nazargah (Pg. 85)
- Author : Afqar Warsi
- Publication : Siddiq Book Depot, Lucknow (1961)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.