junun ko ab junun-e-fitna-saman kar ke chhoDunga
junūñ ko ab junūn-e-fitna-sāmāñ kar ke chhoḌūñgā
had-e-dāman ko tā-hadd-e-garebāñ kar ke chhoḌūñgā
tire ġham ko sukūn-e-ḳhātir-e-jāñ kar ke chhoḌūñgā
maiñ dard-e-dil ko dard-e-dil kā darmāñ kar ke chhoḌūñgā
rahī un ke tabassum kī agar yuuñ hī namak-pāshī
to har zaḳhm-e-jigar ko maiñ namakdāñ kar ke chhoḌūñgā
nahīñ mauqūf duniyā hī meñ charchā ḳhūn-e-nāhaq kā
sar-e-mahshar bhī qātil ko pashemāñ kar ke chhoḌūñgā
asīrī meñ nahīñ hāsil ho sair-e-gulsitāñ mujh ko
qafas ko ashk-e-rañgīñ se gulistāñ kar ke chhoḌūñgā
na rahne dūñgā dil meñ koī hasrat zauq-e-hirmāñ se
maiñ apne is bhare ghar ko bayābāñ kar ke chhoḌūñgā
salāmat hai agar josh-e-junūñ to ek din 'afqar'
bahār-e-bazm-e-hastī ko bayābāñ kar ke chhoḌūñgā
junun ko ab junun-e-fitna-saman kar ke chhoDunga
had-e-daman ko ta-hadd-e-gareban kar ke chhoDunga
tere gham ko sukun-e-KHatir-e-jaan kar ke chhoDunga
main dard-e-dil ko dard-e-dil ka darman kar ke chhoDunga
rahi un ke tabassum ki agar yun hi namak-pashi
to har zaKHm-e-jigar ko main namakdan kar ke chhoDunga
nahin mauquf duniya hi mein charcha KHun-e-nahaq ka
sar-e-mahshar bhi qatil ko pasheman kar ke chhoDunga
asiri mein nahin hasil ho sair-e-gulsitan mujh ko
qafas ko ashk-e-rangin se gulistan kar ke chhoDunga
na rahne dunga dil mein koi hasrat zauq-e-hirman se
main apne is bhare ghar ko bayaban kar ke chhoDunga
salamat hai agar josh-e-junun to ek din 'afqar'
bahaar-e-bazm-e-hasti ko bayaban kar ke chhoDunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.