kyun na KHush hun maut aai mujhko manzil ke qarib
kyuuñ na ḳhush huuñ maut aa.ī mujh ko manzil ke qarīb
jaan parvāna kī niklī sham.a-e-mahfil ke qarīb
pūchhne vaale mire hāl-e-pareshāñ ko na pūchh
ho rahā hai dard sā mahsūs ab dil ke qarīb
kar diyā vārafta kuchh aisā vufūr-e-shauq ne
bār-hā aa.e palaT ham jā ke manzil ke qarīb
vo jo thī ik husn kī sūrat kabhī dūr-az-nigāh
aa ga.ī hai rafta rafta ab mire dil ke qarīb
us kī nākāmī-e-qismat par kahāñ tak roiye
ġharq ho jaa.e safīna jis kā sāhil ke qarīb
dil kī duniyā lūTne vaale unheñ bhī luuT le
ro rahī haiñ hasrateñ jo ḳhāna-e-dil ke qarīb
dar-haqīqat ho rahā thā itnā sāhil duur duur
ho rahe the ham ba-zāhir jitne sāhil ke qarīb
shab kī tanhā.ī meñ bāteñ kar rahā huuñ is tarah
jaise baiThā hī to hai koī mire dil ke qarīb
haaye kis aalam meñ tū ne zindagī dhokā diyā
dūr-az-yār-o-vatan ġhurbat kī manzil ke qarīb
merā marnā yā ki jiinā jo bhī 'afqar' ho magar
ho kisī ke āstān-e-ka.aba manzil ke qarīb
kyun na KHush hun maut aai mujh ko manzil ke qarib
jaan parwana ki nikli shama-e-mahfil ke qarib
puchhne wale mere haal-e-pareshan ko na puchh
ho raha hai dard sa mahsus ab dil ke qarib
kar diya warafta kuchh aisa wufur-e-shauq ne
bar-ha aae palaT hum ja ke manzil ke qarib
wo jo thi ek husn ki surat kabhi dur-az-nigah
aa gai hai rafta rafta ab mere dil ke qarib
us ki nakaami-e-qismat par kahan tak roiye
gharq ho jae safina jis ka sahil ke qarib
dil ki duniya luTne wale unhen bhi luT le
ro rahi hain hasraten jo KHana-e-dil ke qarib
dar-haqiqat ho raha tha itna sahil dur dur
ho rahe the hum ba-zahir jitne sahil ke qarib
shab ki tanhai mein baaten kar raha hun is tarah
jaise baiTha hi to hai koi mere dil ke qarib
haye kis aalam mein tu ne zindagi dhoka diya
dur-az-yar-o-watan ghurbat ki manzil ke qarib
mera marna ya ki jina jo bhi 'afqar' ho magar
ho kisi ke aastan-e-kaba manzil ke qarib
- Book : Nazargah (Pg. 105)
- Author : Afqar Warsi
- Publication : Siddiq Book Depot. Lucknow (1961)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.