tere jalwon ki nairangi se chashm-e-shauq hairan hai
tire jalvoñ kī nairañgī se chashm-e-shauq hairāñ hai
kahīñ dariyā hai kuuza meñ kahīñ zarra bayābāñ hai
ḳhudā rakkhe ajab kaif-e-bahār-e-kū-e-jānāñ hai
ki dil hai jalva-sāmāñ to nazar jannat-ba-dāmāñ hai
badal le marne vaale ham se marg-e-nā-gahāñ apnī
tujhe jiine kī hasrat thī hameñ marne kā armāñ hai
ab us manzil pe pahuñchā hai kisī kā be-ḳhud-e-ulfat
jahāñ par zindagī-o-maut kā ehsās yaksāñ hai
mirī hastī dam-e-nazzāra haa.el hai nigāhoñ meñ
mirī hastī kā parda ḳhud hijāb-e-rū-e-jānāñ hai
na shart-e-zindagī koī na ta.a.īn-e-ajal koī
abhī zinda abhī murda ajab hastī-e-insāñ hai
ajab uljhan meñ Daalā tū ne ai dast-e-junūñ mujh ko
vo kahte haiñ ye dāman hai maiñ kahtā huuñ garebāñ hai
jināñ ko maiñ burā kahtā nahīñ lekin ye kahtā huuñ
jināñ vaa.iz jināñ hai kū-e-jānāñ kū-e-jānāñ hai
nazar rakh fazl-e-ḳhāliq par na ghabrā Dūbne vaale
isī dariyā meñ sāhil hai isī dariyā meñ tūfāñ hai
huī muddat girī thī charḳh se bijlī gulistāñ meñ
mirī nazroñ meñ lekin aaj tak jaltā gulistāñ hai
safīna dil kā kyā Duubā ki duniyā gum huī 'afqar'
na kashtī hai na dariyā hai na sāhil hai na tūfāñ hai
tere jalwon ki nairangi se chashm-e-shauq hairan hai
kahin dariya hai kuza mein kahin zarra bayaban hai
KHuda rakkhe ajab kaif-e-bahaar-e-ku-e-jaanan hai
ki dil hai jalwa-saman to nazar jannat-ba-daman hai
badal le marne wale hum se marg-e-na-gahan apni
tujhe jine ki hasrat thi hamein marne ka arman hai
ab us manzil pe pahuncha hai kisi ka be-KHud-e-ulfat
jahan par zindagi-o-maut ka ehsas yaksan hai
meri hasti dam-e-nazzara hael hai nigahon mein
meri hasti ka parda KHud hijab-e-ru-e-jaanan hai
na shart-e-zindagi koi na tain-e-ajal koi
abhi zinda abhi murda ajab hasti-e-insan hai
ajab uljhan mein Dala tu ne ai dast-e-junun mujh ko
wo kahte hain ye daman hai main kahta hun gareban hai
jinan ko main bura kahta nahin lekin ye kahta hun
jinan waiz jinan hai ku-e-jaanan ku-e-jaanan hai
nazar rakh fazl-e-KHaliq par na ghabra Dubne wale
isi dariya mein sahil hai isi dariya mein tufan hai
hui muddat giri thi charKH se bijli gulistan mein
meri nazron mein lekin aaj tak jalta gulistan hai
safina dil ka kya Duba ki duniya gum hui 'afqar'
na kashti hai na dariya hai na sahil hai na tufan hai
- Book : Nazargah (Pg. 120)
- Author : Afqar Warsi
- Publication : Siddiq Book Depot. Lucknow (1961)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.