apne se dur pata hun ahl-e-nazar ko main
apne se duur paatā huuñ ahl-e-nazar ko maiñ
sab rakhte haiñ jalve ko aur jalva-gar ko maiñ
kartā huuñ yād-e-lazzat-e-zaḳhm-e-jigar ko maiñ
bhūlā nahīñ huuñ aap kī pahlī nazar ko maiñ
kaisī bahār kaisā nasheman kahāñ ke gul
rote haiñ bāl-o-par mujhe aur bāl-o-par ko maiñ
jalvoñ meñ gum nazar hai to jalve nazar meñ gum
ab kyā karūñgā hāsil-e-zauq-e-nazar ko maiñ
hastī ko apnī hastī-e-jānāñ meñ kar ke gum
kartā huuñ chaak parda-e-hadd-e-nazar ko maiñ
yā nāma-bar se pūchhtā 'afqar' thā hāl-e-yār
yā pūchhtā huuñ ḳhairiyat-e-nāma-bar ko maiñ
apne se dur pata hun ahl-e-nazar ko main
sab rakhte hain jalwe ko aur jalwa-gar ko main
karta hun yaad-e-lazzat-e-zaKHm-e-jigar ko main
bhula nahin hun aap ki pahli nazar ko main
kaisi bahaar kaisa nasheman kahan ke gul
rote hain baal-o-par mujhe aur baal-o-par ko main
jalwon mein gum nazar hai to jalwe nazar mein gum
ab kya karunga hasil-e-zauq-e-nazar ko main
hasti ko apni hasti-e-jaanan mein kar ke gum
karta hun chaak parda-e-hadd-e-nazar ko main
ya nama-bar se puchhta 'afqar' tha haal-e-yar
ya puchhta hun KHairiyat-e-nama-bar ko main
- Book : Tazkira Sho.ara-e-Warsia (Pg. 96)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.