KHirad hai majbur aql hairan pata kahin hosh ka nahin hai
ḳhirad hai majbūr aql hairāñ pata kahīñ hosh kā nahīñ hai
abhī se aalam hai be-ḳhudī kā abhī to parda uThā nahīñ hai
hai vo bhī koī jabīn-e-sajda uThe tumhāre jo naqsh-e-pā se
na jazb kar le agar jabīñ ko tumhārā vo naqsh-e-pā nahīñ hai
nazar nazar ik nayā hai jalva nafas nafas ik na.ī hai duniyā
nigāh kī phir bhī intihā hai jamāl kī intihā nahīñ hai
huā ye ma.alūm ba.ad-muddat kisī kī nairañgī-e-sitam se
sitam b-andāza-e-adā hai adā ba-qadr-e-jafā nahīñ hai
azal se hai āsmāñ ḳhamīda na kar sakā phir bhī ek sajda
vo DhūñDhtā hai jis āstāñ ko vo āstāna milā nahīñ hai
hazār rañg-e-zamāna badle hazār daur-e-nashāt aa.e
jo bujh chukā hai havā-e-ġham se charāġh phir vo jalā nahīñ hai
mire nizām-e-hayāt meñ kuchh kamī sī mahsūs ho rahī hai
magar ho tum kis liye pareshāñ savāl dil kā uThā nahīñ hai
bahār aane kī aarzū kyā bahār ḳhud hai nazar kā dhokā
abhī chaman jannat-nazar hai abhī chaman kā patā nahīñ hai
ḳhushī hai zāhid kī varna saaqī ḳhayāl-e-tauba rahegā kab tak
ki terā rind-e-ḳharāb 'afqar' valī nahīñ pārsā nahīñ hai
KHirad hai majbur aql hairan pata kahin hosh ka nahin hai
abhi se aalam hai be-KHudi ka abhi to parda uTha nahin hai
hai wo bhi koi jabin-e-sajda uThe tumhaare jo naqsh-e-pa se
na jazb kar le agar jabin ko tumhaara wo naqsh-e-pa nahin hai
nazar nazar ek naya hai jalwa nafas nafas ek nai hai duniya
nigah ki phir bhi intiha hai jamal ki intiha nahin hai
hua ye malum baad-muddat kisi ki nairangi-e-sitam se
sitam b-andaza-e-ada hai ada ba-qadr-e-jafa nahin hai
azal se hai aasman KHamida na kar saka phir bhi ek sajda
wo DhunDhta hai jis aastan ko wo aastana mila nahin hai
hazar rang-e-zamana badle hazar daur-e-nashat aae
jo bujh chuka hai hawa-e-gham se charagh phir wo jala nahin hai
mere nizam-e-hayat mein kuchh kami si mahsus ho rahi hai
magar ho tum kis liye pareshan sawal dil ka uTha nahin hai
bahaar aane ki aarzu kya bahaar KHud hai nazar ka dhoka
abhi chaman jannat-nazar hai abhi chaman ka pata nahin hai
KHushi hai zahid ki warna saqi KHayal-e-tauba rahega kab tak
ki tera rind-e-KHarab 'afqar' wali nahin parsa nahin hai
- Book : Nazargah (Pg. 51)
- Author : Afqar Warsi
- Publication : Siddiq Book Depot. Lucknow (1961)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.