nigahon ke markaz dilon ke sahaare tujhe kis tarah koi apna bana le
nigahon ke markaz dilon ke sahaare tujhe kis tarah koi apna bana le
Afqar Mohani
MORE BYAfqar Mohani
nigāhoñ ke markaz diloñ ke sahāre tujhe kis tarah koī apnā banā le
nazar-gāh-e-ālam tire ruḳh ke jalve merā zauq-e-nazzāra tere havāle
na dhokā de ai fursat-e-zindagāī fasāna mire ġham kā duniyā banā le
ajal se kah de marnā hai bar-haq abhī aur kuchh rose koī satā le
tumheñ zid ki ham kis liye pahle boleñ hameñ ki koī baat pahle nikāle
le bas aao mil jaa.eñ chhoḌeñ zidoñ ko na tum baat vaale na ham baat vaale
nazar aa.ī dhokā hī dhokā ye duniyā fareb-e-nazar hai tamāsha yahāñ kā
sunte haiñ bahut haq-parastoñ ke qisse bahut ham ne dekhe haiñ allāh vaale
hameñ mil gayā hai tirā āstāna kahīñ ab na aanā kahīñ ab na jaanā
muqaddar se bigḌā ho jis ke zamāna yahāñ apnī bigḌī vo qismat banā le
vo maḳhmūr āñkheñ vo pur-kaif nazreñ jise dekh leñ mast us ko banā deñ
na mai kī zarūrat na shīshe kī hājat kahāñ kī surāhī kahāñ ke pyāle
mohabbat kā duniyā meñ hai bol-bālā mohabbat na hotī to kuchh bhī na hotā
mohabbat kī bāteñ haiñ sab se anokhī mohabbat ke qisse haiñ sab se nirāle
barahman kā ho dharm yā dīn-e-mullā vahī ek jalva vahī ek sajda
ma.ābid pe be-kār 'afqar' hai jhagḌā kahāñ kī masājid kahāñ ke shivāle
nigahon ke markaz dilon ke sahaare tujhe kis tarah koi apna bana le
nazar-gah-e-alam tere ruKH ke jalwe mera zauq-e-nazzara tere hawale
na dhoka de ai fursat-e-zindagai fasana mere gham ka duniya bana le
ajal se kah de marna hai bar-haq abhi aur kuchh rose koi sata le
tumhein zid ki hum kis liye pahle bolen hamein ki koi baat pahle nikale
le bas aao mil jaen chhoDen zidon ko na tum baat wale na hum baat wale
nazar aai dhoka hi dhoka ye duniya fareb-e-nazar hai tamasha yahan ka
sunte hain bahut haq-paraston ke qisse bahut hum ne dekhe hain allah wale
hamein mil gaya hai tera aastana kahin ab na aana kahin ab na jaana
muqaddar se bigDa ho jis ke zamana yahan apni bigDi wo qismat bana le
wo maKHmur aankhen wo pur-kaif nazren jise dekh len mast us ko bana den
na mai ki zarurat na shishe ki hajat kahan ki surahi kahan ke pyale
mohabbat ka duniya mein hai bol-baala mohabbat na hoti to kuchh bhi na hota
mohabbat ki baaten hain sab se anokhi mohabbat ke qisse hain sab se nirale
barahman ka ho dharm ya din-e-mulla wahi ek jalwa wahi ek sajda
maabid pe be-kar 'afqar' hai jhagDa kahan ki masajid kahan ke shiwale
- Book : Tazkira Sho.ara-e-Warsia (Pg. 96)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.