Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

ab kya bataun dard kahan tha kahan na tha

Afqar Mohani

ab kya bataun dard kahan tha kahan na tha

Afqar Mohani

MORE BYAfqar Mohani

    ab kyā batā.ūñ dard kahāñ thā kahāñ na thā

    pūchhī vo baat yaar ne jis gumāñ na thā

    is se ziyāda hāsil-e-umr-e-ravāñ na thā

    terā nishāñ jo paayā to apnā nishāñ na thā

    duniyā ho hujūm-e-qayāmat ho ki hashr

    tire ḳharāb-e-ishq charchā kahāñ na thā

    aatā nazar thā duur se nazdīk kārvāñ

    nazdīk ham hue to kahīñ kārvāñ na thā

    aayā nazar na phir bhī jahāñ meñ kisī ko

    har-chand tire jalve se ḳhālī jahāñ na thā

    be-parda is tarah kabhī hāsil thā lutf-e-dīd

    hastī bhī hijāb mire darmiyāñ na thā

    har zarra-e-jahāñ pe thā ābād ik jahāñ

    hastī koī zarra bhī to rā.egāñ na thā

    'afqar' ma.āl-e-hastī-e-fānī thā bas yahī

    kal tak thā naam aaj lahad nishāñ na thā

    ab kya bataun dard kahan tha kahan na tha

    puchhi wo baat yar ne jis ka guman na tha

    is se ziyaada hasil-e-umr-e-rawan na tha

    tera nishan jo paya to apna nishan na tha

    duniya ho ya hujum-e-qayamat ho ya ki hashr

    tere KHarab-e-ishq ka charcha kahan na tha

    aata nazar tha dur se nazdik karwan

    nazdik hum hue to kahin karwan na tha

    aaya nazar na phir bhi jahan mein kisi ko tu

    har-chand tere jalwe se KHali jahan na tha

    be-parda is tarah kabhi hasil tha lutf-e-did

    hasti ka bhi hijab mere darmiyan na tha

    har zarra-e-jahan pe tha aabaad ek jahan

    hasti ka koi zarra bhi to raegan na tha

    'afqar' maal-e-hasti-e-fani tha bas yahi

    kal tak tha nam aaj lahad ka nishan na tha

    Source :
    • Book : Tazkira Sho.ara-e-Warsia (Pg. 96)
    • Publication : Fine Books Pritners (1993)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now