mili sajda ki ijazat junhi pasban se pahle
Interesting Fact
(’’آجکل‘‘دہلی جولائی ۱۹۶۸ء)
milī sajda kī ijāzat jūñhī pāsbāñ se pahle
mujhe mil ga.ī ḳhudā.ī tere āstāñ se pahle
na jahāñ kī ab tamannā na matā-e-do-jahāñ kī
mujhe mil gayā hai sab kuchh tere āstāñ se pahle
abhī duur hai nazar se tire āstāñ kī manzil
maiñ tavāf-e-ka.aba kar luuñ tire āstāñ se pahle
ye hai muḳhtasar fasāna mirī zindagī kā nāseh
ġham-e-āshiqī faqat thā ġham-e-do-jahāñ se pahle
vo chale miTāne mujh ko ba-ḳharām-e-nāz jis dam
to pukār uThī qayāmat ki mere yahāñ se pahle
banā jab se āshiyāna to nigāh-e-charḳh badlī
na girī thī varna bijlī mire āshiyāñ se pahle
mirī mai-kashī kā zāhid nahīñ ḳhaas vaqt koī
kabhī din ke vaqt pī lī to kabhī azaañ se pahle
mirī zindagī kī 'afqar' hama shauq dāstāñ hai
maiñ sunā.ūñ bhī jo un ko to kahūñ kahāñ se pahle
mili sajda ki ijazat junhi pasban se pahle
mujhe mil gai KHudai tere aastan se pahle
na jahan ki ab tamanna na mata-e-do-jahan ki
mujhe mil gaya hai sab kuchh tere aastan se pahle
abhi dur hai nazar se tere aastan ki manzil
main tawaf-e-kaba kar lun tere aastan se pahle
ye hai muKHtasar fasana meri zindagi ka naseh
gham-e-ashiqi faqat tha gham-e-do-jahan se pahle
wo chale miTane mujh ko ba-KHaram-e-naz jis dam
to pukar uThi qayamat ki mere yahan se pahle
bana jab se aashiyana to nigah-e-charKH badli
na giri thi warna bijli mere aashiyan se pahle
meri mai-kashi ka zahid nahin KHas waqt koi
kabhi din ke waqt pi li to kabhi azan se pahle
meri zindagi ki 'afqar' hama shauq dastan hai
main sunaun bhi jo un ko to kahun kahan se pahle
- Book : Tazkira Sho.ara-e-Warsia (Pg. 97)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.