Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

meri hasti ka jalwon mein tere ru-posh ho jaana

Afqar Mohani

meri hasti ka jalwon mein tere ru-posh ho jaana

Afqar Mohani

MORE BYAfqar Mohani

    mirī hastī jalvoñ meñ tire rū-posh ho jaanā

    yahīñ to hai bas ik qatra dariyā nosh ho jaanā

    tumheñ kyā ġham mubārak ho tumheñ rū-posh ho jaanā

    huā jaatā hai afsāna mirā behosh ho jaanā

    vahī samjhe haiñ kuchh kuchh zindagī-o-maut hāsil

    jinheñ aatā hai jīte-jī kafan-bardosh ho jaanā

    ye achchhī ibtidā aap ne ai hazrat-e-mūsā

    dam-e-dīdār ab lāzim huā behosh ho jaanā

    zamīñ zarra zarra ā.īna-dā-e-haqīqat hai

    kahīñ apne jalvoñ meñ na tum rū-posh ho jaanā

    bisāt-e-dahr meñ ġhāfil bhalā jiine hāsil kyā

    ki marnā bhī jahāñ par ho vabāl-e-dosh ho jaanā

    vo sar zaanū pe un ke vo havā zulf-e-mo.ambar

    hameñ to hosh se baḌh kar hai yuuñ behosh ho jaanā

    nazar aate haiñ ab jalve jalve har taraf mujh ko

    dalīl-e-hoshiyārī thā mirā behosh ho jaanā

    vo uThnā jalva-gāh-e-nāz ke parde nazroñ se

    vo merā dekhte dekhte behosh ho jaanā

    kahīñ nākām rah jaaye na zauq-e-justujū apnā

    adam se bhī ḳhayāl-e-yār-e-ham-āġhosh ho jaanā

    guzar manzil-e-ehsās had se bhī ai 'afqar'

    kamāl-e-be-ḳhudī hai be-niyāz-e-hosh ho jaanā

    meri hasti ka jalwon mein tere ru-posh ho jaana

    yahin to hai bas ek qatra ka dariya nosh ho jaana

    tumhein kya gham mubarak ho tumhein ru-posh ho jaana

    hua jata hai afsana mera behosh ho jaana

    wahi samjhe hain kuchh kuchh zindagi-o-maut ka hasil

    jinhen aata hai jite-ji kafan-bardosh ho jaana

    ye achchhi ibtida ki aap ne ai hazrat-e-musa

    dam-e-didar ab lazim hua behosh ho jaana

    zamin ka zarra zarra aaina-da-e-haqiqat hai

    kahin apne hi jalwon mein na tum ru-posh ho jaana

    bisat-e-dahr mein ghafil bhala jine ka hasil kya

    ki marna bhi jahan par ho wabaal-e-dosh ho jaana

    wo sar zanu pe un ke wo hawa zulf-e-moambar ki

    hamein to hosh se baDh kar hai yun behosh ho jaana

    nazar aate hain ab jalwe hi jalwe har taraf mujh ko

    dalil-e-hoshiyari tha mera behosh ho jaana

    wo uThna jalwa-gah-e-naz ke parde ka nazron se

    wo mera dekhte hi dekhte behosh ho jaana

    kahin nakaam rah jaye na zauq-e-justuju apna

    adam se bhi KHayal-e-yar-e-ham-aghosh ho jaana

    guzar ja manzil-e-ehsas ki had se bhi ai 'afqar'

    kamal-e-be-KHudi hai be-niyaz-e-hosh ho jaana

    Source :
    • Book : Nazargah (Pg. 43)
    • Author : Afqar Warsi
    • Publication : Siddiq Book Depot Lucknow (1961)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now