jidhar bhi saqi-e-mai-KHana aaya
jidhar bhī sāqī-e-mai-ḳhāna aayā
nazar raqs-e-mai-o-paimāna aayā
kabhī ka.aba kabhī but-ḳhāna aayā
sar-e-manzil dar-e-jānāna aayā
huā andaza-e-bāda-parastī
samajh meñ jab ḳhatt-e-paimāna aayā
hujūm-e-hashr hai mahv-e-tamāshā
ilāhī kis kā ye dīvāna aayā
mirī hastī kā parda sāmne thā
nazar jab jalva-e-jānāna aayā
ajab dīvāna thā dīvāna un kā
jise dekhā nazar dīvāna aayā
vahāñ bhī kar liyā sajda ḳhudā ko
koī jab raah meñ but-ḳhāna aayā
ma.āz-allāh nazā-e-dair-o-ka.aba
behamdillāh dar-e-mai-ḳhāna aayā
kareñ sajda mujhe sab ahl-e-mahshar
jo tum kah do mirā dīvāna aayā
jo shab ko rah gayā jalne se baaqī
huzūr-e-husn vo parvāna aayā
ġham-e-daurāñ kā phir kyā zikr 'afqar'
mai-e-rañgīñ kā jab paimāna aayā
jidhar bhi saqi-e-mai-KHana aaya
nazar raqs-e-mai-o-paimana aaya
kabhi kaba kabhi but-KHana aaya
sar-e-manzil dar-e-jaanana aaya
hua andaza-e-baada-parasti
samajh mein jab KHatt-e-paimana aaya
hujum-e-hashr hai mahw-e-tamasha
ilahi kis ka ye diwana aaya
meri hasti ka parda samne tha
nazar jab jalwa-e-jaanana aaya
ajab diwana tha diwana un ka
jise dekha nazar diwana aaya
wahan bhi kar liya sajda KHuda ko
koi jab rah mein but-KHana aaya
maaz-allah naza-e-dair-o-kaba
behamdillah dar-e-mai-KHana aaya
karen sajda mujhe sab ahl-e-mahshar
jo tum kah do mera diwana aaya
jo shab ko rah gaya jalne se baqi
huzur-e-husn wo parwana aaya
gham-e-dauran ka phir kya zikr 'afqar'
mai-e-rangin ka jab paimana aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.