kabhi chaar phul chaDha diye jo kisi ne mere mazar par
kabhī chaar phuul chaḌhā diye jo kisī ne mere mazār par
to hazāroñ charḳh se bijliyāñ girīñ ek musht-e-ġhubār par
vo matā-e-umr hai rā.egāñ jo na sarf ho dar-e-yār par
ki vo zindagī nahīñ zindagī jo basar ho roz-e-shumār par
na haram ke sajdoñ se vāsta na sujūd-e-dair se kuchh ġharaz
mujhe kaam hai dar-e-yār se mujhe naaz hai dar-e-yār par
maiñ hamesha vaqf-e-sitam rahā mujhe faḳhr hai mujhe naaz hai
kabhī apnī aisī hayāt par kabhī aise lail-o-nahār par
hai unhīñ kī zindagī zindagī hai unhīñ kī maut bhī maut jo
rahe āstāna-e-yār par miTe āstāna-e-yār par
vo bahār-e-umr ho yā ḳhizāñ nahīñ koī qābil-e-e'tinā
na yaqīñ thā mujh ko surūr par na hai e'tibār ḳhumār par
vo huuñ rind-e-mai-kada-nosh maiñ ki zarā bhī der agar huī
to sharāb shīsha meñ maujzan huī mere rañg-e-ḳhumār par
maiñ bhulā.ūñ kaise pas-e-fanā mirī zindagī kā hai āshnā
ki tamām rāhateñ umr kī huiiñ sadqe jab ġham-e-yār par
na ġhurūr aish-e-jahāñ pe kar na ġham-e-jahāñ se malūl ho
ki nizām-e-dahr nahīñ rahā kabhī 'afqar' ek madār par
kabhi chaar phul chaDha diye jo kisi ne mere mazar par
to hazaron charKH se bijliyan girin ek musht-e-ghubar par
wo mata-e-umr hai raegan jo na sarf ho dar-e-yar par
ki wo zindagi nahin zindagi jo basar ho roz-e-shumar par
na haram ke sajdon se wasta na sujud-e-dair se kuchh gharaz
mujhe kaam hai dar-e-yar se mujhe naz hai dar-e-yar par
main hamesha waqf-e-sitam raha mujhe faKHr hai mujhe naz hai
kabhi apni aisi hayat par kabhi aise lail-o-nahaar par
hai unhin ki zindagi zindagi hai unhin ki maut bhi maut jo
rahe aastana-e-yar par miTe aastana-e-yar par
wo bahaar-e-umr ho ya KHizan nahin koi qabil-e-e'tina
na yaqin tha mujh ko surur par na hai e'tibar KHumar par
wo hun rind-e-mai-kada-nosh main ki zara bhi der agar hui
to sharab shisha mein maujzan hui mere rang-e-KHumar par
main bhulaun kaise pas-e-fana meri zindagi ka hai aashna
ki tamam rahaten umr ki huin sadqe jab gham-e-yar par
na ghurur aish-e-jahan pe kar na gham-e-jahan se malul ho
ki nizam-e-dahr nahin raha kabhi 'afqar' ek madar par
- Book : Nazargah (Pg. 58)
- Author : Afqar Warsi
- Publication : Siddiq Book Depot, Lucknow (1961)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.