Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

jabin-e-shauq itni sharik-e-kar ho jae

Afqar Mohani

jabin-e-shauq itni sharik-e-kar ho jae

Afqar Mohani

jabīn-e-shauq itnī sharīk-e-kār ho jaa.e

jahāñ sajda karūñ maiñ āstān-e-yār ho jaa.e

sabā barham agar zulf-e-darāz-e-yār ho jaa.e

qayāmat karvaTeñ letī huī bedār ho jaa.e

banā do jis ko tum majbūr vo majbūr ban jaaye

jise muḳhtār tum kah do vahī muḳhtār ho jaa.e

tujhe ma.alūm kyā ai ḳhvāb-e-hastī dekhne vaale

vahī hastī hai hastī jo nisār-e-yār ho jaa.e

guzar jaa.e hudūd-e-mārfat se tālib-e-jalva

jo be-parda kisī saa.at jamāl-e-yār ho jaa.e

hukūmat hai junūñ par hasab-e-manshā tere vahshī

abhī dīvāna ban jaaye abhī hushiyār ho jaa.e

faqat itnī itā.at chāhtī hai rahmat-e-bārī

ki insāñ ko gunah apne bas iqrār ho jaa.e

usī ko kāmyāb-e-dīd kahte haiñ nazar vaale

vo āshiq jo halāk-e-hasrat-e-dīdār ho jaa.e

na hogī ḳhatm phir bhī kashmakash shaiḳh-o-barhaman

agar ham-rishta-e-tasbīh bhī zunnār ho jaa.e

samajh lenā vahīñ umr-e-ravāñ āḳhirī manzil

jahāñ par ḳhatm 'afqar' justujū-e-yār ho jaa.e

jabin-e-shauq itni sharik-e-kar ho jae

jahan sajda karun main aastan-e-yar ho jae

saba barham agar zulf-e-daraaz-e-yar ho jae

qayamat karwaTen leti hui bedar ho jae

bana do jis ko tum majbur wo majbur ban jaye

jise muKHtar tum kah do wahi muKHtar ho jae

tujhe malum kya ai KHwab-e-hasti dekhne wale

wahi hasti hai hasti jo nisar-e-yar ho jae

guzar jae hudud-e-marfat se talib-e-jalwa

jo be-parda kisi saat jamal-e-yar ho jae

hukumat hai junun par hasab-e-mansha tere wahshi ki

abhi diwana ban jaye abhi hushiyar ho jae

faqat itni itaat chahti hai rahmat-e-bari

ki insan ko gunah ka apne bas iqrar ho jae

usi ko kaamyab-e-did kahte hain nazar wale

wo aashiq jo halak-e-hasrat-e-didar ho jae

na hogi KHatm phir bhi kashmakash shaiKH-o-barhaman ki

agar ham-rishta-e-tasbih bhi zunnar ho jae

samajh lena wahin umr-e-rawan ki aaKHiri manzil

jahan par KHatm 'afqar' justuju-e-yar ho jae

Source :
  • Book : Nazargah (Pg. 62)
  • Author : Afqar Warsi
  • Publication : Siddiq book Depot, Lucknow (1961)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now