Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

ye na puchho kis tarah hasil hua kyun kar mila

Afsar Siddiqi Amrohvi

ye na puchho kis tarah hasil hua kyun kar mila

Afsar Siddiqi Amrohvi

MORE BYAfsar Siddiqi Amrohvi

    ye na pūchho kis tarah hāsil huā kyuuñ kar milā

    justujū kaam aa ga.ī merī to un dar milā

    dil bhī miltā aur āñkheñ bhī to thā milne lutf

    yuuñ to milne ke liye ye be-vafā aksar milā

    husn vāloñ meñ thā jalva kis ke husn-e-pāk

    jo milā 'umda milā achchhā milā behtar milā

    shikva-e-be-dād himmat na mujh ko ho sakī

    'arsa-e-mahshar meñ yuuñ vo fitna-e-mahshr milā

    jām-e-sahbā ko hai shāyad jām-e-jam se kuchh lagāv

    saare parde uTh ga.e mai-kash ko jab sāġhar milā

    tuur 'azmat mire dil meñ samā.ī is qadar

    apnā māthā rakh diyā jo raah meñ patthar milā

    rakhte the dar-parda matlab milne vaale aap ke

    kuchh milā tā-zindagī be-laus to 'afsar' milā

    ye na puchho kis tarah hasil hua kyun kar mila

    justuju kaam aa gai meri to un ka dar mila

    dil bhi milta aur aankhen bhi to tha milne ka lutf

    yun to milne ke liye ye be-wafa aksar mila

    husn walon mein tha jalwa kis ke husn-e-pak ka

    jo mila 'umda mila achchha mila behtar mila

    shikwa-e-be-dad ki himmat na mujh ko ho saki

    'arsa-e-mahshar mein yun wo fitna-e-mahshr mila

    jam-e-sahba ko hai shayad jam-e-jam se kuchh lagaw

    sare parde uTh gae mai-kash ko jab saghar mila

    tur ki 'azmat mere dil mein samai is qadar

    apna matha rakh diya jo rah mein patthar mila

    rakhte the dar-parda matlab milne wale aap ke

    kuchh mila ta-zindagi be-laus to 'afsar' mila

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now