raha karata hai aksar tazkira barbaadi-e-dil ka
raha karata hai aksar tazkira barbaadi-e-dil ka
Afsar Siddiqi Amrohvi
MORE BYAfsar Siddiqi Amrohvi
rahā karatā hai aksar tazkira barbādī-e-dil kā
maiñ bigḌā huuñ to afsāna banā huuñ un kī mahfil kā
nishāna ban gayā baiThe-biThā.e tīr-e-qātil kā
chalo chhuTTī huī jhagḌā miTā qissa gayā dil kā
qiyāmat kī kashish rakhte haiñ zarre ḳhaak sāhil ke
ki maujeñ āḳhirī dam tak bhī dam bhartī haiñ sāhil kā
thake-māñde musāfir aa paḌe ārām kī ḳhātir
baḌā ehsān hai in ġham-zadoñ par pahlī manzil kā
dil-e-majrūh apne zaḳhm par phāhā lagāne ko
kināra chāhtā hai dāman-e-shamshīr qātil kā
mirā dil TuuT jā.egā na khīñch us ko na khīñch us ko
tirā nāvik nahīñ zālim ye TukḌā hai mire dil kā
mire ahbāb ba.ad-e-marg is hairat se takte haiñ
ki jaise mere māthe par hai likhnā naam qātil kā
unheñ pardā nahīñ hai to na ho ye kaam un kā hai
hameñ to haal kah denā kabhī apnā kabhī dil kā
dil-e-mushtāq 'afsar' ko agar hairāñ banāyā hai
to rakheñ aap use ā.īna kar ke apnī mahfil kā
raha karata hai aksar tazkira barbaadi-e-dil ka
main bigDa hun to afsana bana hun un ki mahfil ka
nishana ban gaya baiThe-biThae tir-e-qatil ka
chalo chhuTTi hui jhagDa miTa qissa gaya dil ka
qiyamat ki kashish rakhte hain zarre KHak sahil ke
ki maujen aaKHiri dam tak bhi dam bharti hain sahil ka
thake-mande musafir aa paDe aaram ki KHatir
baDa ehsan hai in gham-zadon par pahli manzil ka
dil-e-majruh apne zaKHm par phaha lagane ko
kinara chahta hai daman-e-shamshir qatil ka
mera dil TuT jaega na khinch us ko na khinch us ko
tera nawik nahin zalim ye TukDa hai mere dil ka
mere ahbab baad-e-marg is hairat se takte hain
ki jaise mere mathe par hai likhna nam qatil ka
unhen parda nahin hai to na ho ye kaam un ka hai
hamein to haal kah dena kabhi apna kabhi dil ka
dil-e-mushtaq 'afsar' ko agar hairan banaya hai
to rakhen aap use aaina kar ke apni mahfil ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.