tajalli tum se mumkin ho to kashana mein rakh dena
tajalli tum se mumkin ho to kashana mein rakh dena
Afsar Siddiqi Amrohvi
MORE BYAfsar Siddiqi Amrohvi
tajallī tum se mumkin ho to kāshāna meñ rakh denā
charāġh-e-ārzū dil ke siyah-ḳhāna meñ rakh denā
mujhe ye chashma-e-haivāñ ke paanī se ziyāda hai
tum apne muñh kī jhūTī mere paimāna meñ rakh denā
kisī kī dil-rubā tasvīr kahtī hai ishāroñ se
sanam-ḳhāna kī zīnat huuñ sanam-ḳhāna meñ rakh denā
tire qurbān o qāsid mirī āñkheñ bhī letā jā
unhīñ ke vāste haiñ un ke nazrāna meñ rakh denā
vo kahte haiñ koī āsān hai saudā mohabbat kā
yahāñ paḌtā hai pahle jaan bai.āna meñ rakh denā
isī darbār ke ham bhī du'ā-go the kabhī saaqī
hamāre naam kī bhī ek paimāna meñ rakh denā
bas ab to rāt-din ye shuġhl ye saudā hai 'afsar' ko
tirī tasvīr lenā aur but-ḳhāna meñ rakh denā
tajalli tum se mumkin ho to kashana mein rakh dena
charagh-e-arzu dil ke siyah-KHana mein rakh dena
mujhe ye chashma-e-haiwan ke pani se ziyaada hai
tum apne munh ki jhuTi mere paimana mein rakh dena
kisi ki dil-ruba taswir kahti hai ishaaron se
sanam-KHana ki zinat hun sanam-KHana mein rakh dena
tere qurban o qasid meri aankhen bhi leta ja
unhin ke waste hain un ke nazrana mein rakh dena
wo kahte hain koi aasan hai sauda mohabbat ka
yahan paDta hai pahle jaan baiana mein rakh dena
isi darbar ke hum bhi du'a-go the kabhi saqi
hamare nam ki bhi ek paimana mein rakh dena
bas ab to raat-din ye shughl ye sauda hai 'afsar' ko
teri taswir lena aur but-KHana mein rakh dena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.