ab apni jafa yaad na aashiq ki wafa yaad
ab apnī jafā yaad na 'āshiq kī vafā yaad
au bhūlne vaale tujhe kuchh bhī na rahā yaad
jab dil se uThā.e na ga.e zulm butoñ ke
aayā ise fariyād ke parde meñ ḳhudā yaad
aage tire dam bhuul ga.e chāra-gar aisā
jiine kī davā yaad na marne kī du'ā yaar
kuchh pās-e-mohabbat hai jo ḳhāmosh huuñ ab tak
ek-ek sitam yaad hai ek-ek jafā yaad
kyā aur koī zulm bhī hai is se ziyāda
marte hue 'āshiq ko bhī tum ne na kiyā yaad
is 'aish kī tasvīr ne sab rañj miTā.e
sūrat ko tirī dekh ke kuchh bhī na rahā yaad
ab soch rahe ho jo shikāyat hai jafā kī
is yaad ke sadqe na rahī apnī jafā yaad
zahmat-kash-e-gesū huuñ to kyā turra hai mujh meñ
kartī hai mujhe is but-e-kāfir kī balā yaad
jab Tiis mire zaḳhm-e-jigar meñ huī 'afsar'
tīr-e-nigah-e-nāz kī shoḳhī ko kiyā yaad
ab apni jafa yaad na 'ashiq ki wafa yaad
au bhulne wale tujhe kuchh bhi na raha yaad
jab dil se uThae na gae zulm buton ke
aaya ise fariyaad ke parde mein KHuda yaad
aage tere dam bhul gae chaara-gar aisa
jine ki dawa yaad na marne ki du'a yar
kuchh pas-e-mohabbat hai jo KHamosh hun ab tak
ek-ek sitam yaad hai ek-ek jafa yaad
kya aur koi zulm bhi hai is se ziyaada
marte hue 'ashiq ko bhi tum ne na kiya yaad
is 'aish ki taswir ne sab ranj miTae
surat ko teri dekh ke kuchh bhi na raha yaad
ab soch rahe ho jo shikayat hai jafa ki
is yaad ke sadqe na rahi apni jafa yaad
zahmat-kash-e-gesu hun to kya turra hai mujh mein
karti hai mujhe is but-e-kafir ki bala yaad
jab Tis mere zaKHm-e-jigar mein hui 'afsar'
tir-e-nigah-e-naz ki shoKHi ko kiya yaad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.