nisti basti hai yaro aur basti kuchh nahin
nīstī bastī hai yaaro aur bastī kuchh nahīñ
ḳhud-farāmoshī hai mastī aur mastī kuchh nahīñ
fikr-e-asbāb-e-jahāñ ko tark karnā faqr hai
yaf’alullāhu mā-yashā aur durustī kuchh nahīñ
ahl-e-daulat haath ḳhālī is jahāñ se chale base
haath ḳhālī hai farāġhat tañg-dastī kuchh nahīñ
chand roza zindagī hai ye mahal puḳhta hai kyā
shahr-e-ḳhāmoshāñ hai bastī aur bastī kuchh nahīñ
sab kuchh hai hāsil usī ko is jahāñ meñ ai 'faqīr'
jis kisī ke sāmne 'ālam kī hastī kuchh nahīñ
nisti basti hai yaro aur basti kuchh nahin
KHud-faramoshi hai masti aur masti kuchh nahin
fikr-e-asbab-e-jahan ko tark karna faqr hai
yaf’alullahu ma-yasha aur durusti kuchh nahin
ahl-e-daulat hath KHali is jahan se chale base
hath KHali hai faraghat tang-dasti kuchh nahin
chand roza zindagi hai ye mahal puKHta hai kya
shahr-e-KHamoshan hai basti aur basti kuchh nahin
sab kuchh hai hasil usi ko is jahan mein ai 'faqir'
jis kisi ke samne 'alam ki hasti kuchh nahin
- Book : Diwan-e-Afzal (Pg. 49)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.