tujhi se teri hi hamd-e-bari dahan ye tera zaban teri

tujhi se teri hi hamd-e-bari dahan ye tera zaban teri
Afzal Hussain Asdaqi
MORE BYAfzal Hussain Asdaqi
tujhī se terī hī hamd-e-bārī dahan ye terā zabān terī
terā 'atiyya hai nutq apnā ye jism terā ye jaan terī
nafakHtu-fīhi kahā hai kis ne va-kuntu-kanzan batāyā kis ne
ye ruuh tan meñ basāyā kis ne hamāre aaqā hai shaan terī
jamāl kis kā thā tūr-e-ūpar pahāḌ surma banā hai kyūñ-kar
vo nuur kis kā thā shaan terī vo nuur kis kā thā shaan terī
bulāyā kis ne falak ke uupar jahāñ haiñ jalte gumān ke par
tirī hai qudrat tirī 'ināyat ye aaqā sab kuchh hai maan terī
vo sajda aadam ko kyuuñ kiyā thā farishta paakī jo nuur se thā
ye putlā ḳhākī ko rutba kaisā 'ināyateñ haiñ sub.hān terī
vo pheñkā bhālā to tū ye bolā ki mā-ramaita ramaita anā
ahad se ahmad kā milne jaanā yahī to rabbī hai shaan terī
tujhī se terī hai chaah mujh ko tujhī se terī panāh mujh ko
tujhī se milnī hai raah mujh ko ḳhudāyā mere amaan terī
ye jism ḳhākī ho nuur terā jahāñ se jis dam uThe baserā
ye bulbul-e-jāñ taḌap-taḌap kar kahe ‘faqīrā’ hai jaan terī
tujhi se teri hi hamd-e-bari dahan ye tera zaban teri
tera 'atiyya hai nutq apna ye jism tera ye jaan teri
nafakHtu-fihi kaha hai kis ne wa-kuntu-kanzan bataya kis ne
ye ruh tan mein basaya kis ne hamare aaqa hai shan teri
jamal kis ka tha tur-e-upar pahaD surma bana hai kyun-kar
wo nur kis ka tha shan teri wo nur kis ka tha shan teri
bulaya kis ne falak ke upar jahan hain jalte guman ke par
teri hai qudrat teri 'inayat ye aaqa sab kuchh hai man teri
wo sajda aadam ko kyun kiya tha farishta paki jo nur se tha
ye putla KHaki ko rutba kaisa 'inayaten hain subhan teri
wo phenka bhaala to tu ye bola ki ma-ramaita ramaita ana
ahad se ahmad ka milne jaana yahi to rabbi hai shan teri
tujhi se teri hai chah mujh ko tujhi se teri panah mujh ko
tujhi se milni hai rah mujh ko KHudaya mere aman teri
ye jism KHaki ho nur tera jahan se jis dam uThe basera
ye bulbul-e-jaan taDap-taDap kar kahe ‘faqira’ hai jaan teri
- Book : Diwan-e-Afzal (Pg. 58)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.