jaan to ram hui tan hua lachhman un ka
jaan to raam huī tan huā lachhman un kā
ham kyā karte haiñ donoñ hī meñ darshan un kā
tan-e-tanhā huuñ akelā huuñ qiyāmat hai qarīb
nām-levā na rahā shaiḳh-o-barhaman un kā
jo sadā innī nallāh kī shajar se niklī
aag lag jaa.e use dekhe jo joban un kā
ḳhud hī kahte haiñ ki shah-e-rag se qarīb aap ke haiñ
lā-makāñ meñ hai vo kis vāste maskan un kā
DhūñDtā hai jo tujhe DhūñD le apne se vo aap
ḳhāksārī meñ milā 'sahv' ko maḳhzan un kā
jaan to ram hui tan hua lachhman un ka
hum kya karte hain donon hi mein darshan un ka
tan-e-tanha hun akela hun qiyamat hai qarib
nam-lewa na raha shaiKH-o-barhaman un ka
jo sada inni nallah ki shajar se nikli
aag lag jae use dekhe jo joban un ka
KHud hi kahte hain ki shah-e-rag se qarib aap ke hain
la-makan mein hai wo kis waste maskan un ka
DhunDta hai jo tujhe DhunD le apne se wo aap
KHaksari mein mila 'sahw' ko maKHzan un ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.