nazar aaya ruKH-e-raushan kisi ka
nazar aayā ruḳh-e-raushan kisī kā
huā hai ḳhuub hī darshan kisī kā
nahīñ haiñ be-sabab nīchī nigāheñ
churā laa.ī hai dil chitvan kisī kā
nahīñ rahne ke vo ḳhalvat ke andar
ki bāzī-gāh hai āñgan kisī kā
zarā Thukrā ke jaanā jaate jaate
tire kūcha meñ hai madfan kisī kā
koī is jaa.e shāyad aa rahā hai
pata detā hai ye maskan kisī kā
nikalte haiñ jo gul buuTe mahak kar
milā hai ḳhaak meñ joban kisī kā
jo pahnā kaan meñ baalā ye bolā
tujhe hai yaad balāpan kisī kā
jise dekhā usī kā dost paayā
nahīñ ai 'sahv' vo dushman kisī kā
nazar aaya ruKH-e-raushan kisi ka
hua hai KHub hi darshan kisi ka
nahin hain be-sabab nichi nigahen
chura lai hai dil chitwan kisi ka
nahin rahne ke wo KHalwat ke andar
ki bazi-gah hai aangan kisi ka
zara Thukra ke jaana jate jate
tere kucha mein hai madfan kisi ka
koi is jae shayad aa raha hai
pata deta hai ye maskan kisi ka
nikalte hain jo gul buTe mahak kar
mila hai KHak mein joban kisi ka
jo pahna kan mein baala ye bola
tujhe hai yaad balapan kisi ka
jise dekha usi ka dost paya
nahin ai 'sahw' wo dushman kisi ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.