saqiya kaisa pilaya bhar ke tu paimana aaj
sāqiyā kaisā pilāyā bhar ke tū paimāna aaj
tere dīvāna kā 'ālam ho gayā dīvāna aaj
kū-ba-kū se dekhne jaate haiñ sab pī-o-javāñ
shahar meñ shohrat huī hai aa rahā dīvāna aaj
gabr-o-tarsā ’aish karte haiñ jahāñ meñ roz-o-shab
ka.aba-e-dil ban gayā hai momin-o-but-kHāna aaj
faisla hotā nahīñ hai mudda.ī hai zor par
rū-ba-rū huzzār-e-majlis ke zarā bulvānā aaj
bhūkā pyāsā shaam se baiThā huuñ dar par aap ke
jald tanḳhvāh ab mujhe sarkār se dilvānā aaj
saqiya kaisa pilaya bhar ke tu paimana aaj
tere diwana ka 'alam ho gaya diwana aaj
ku-ba-ku se dekhne jate hain sab pi-o-jawan
shahar mein shohrat hui hai aa raha diwana aaj
gabr-o-tarsa ’aish karte hain jahan mein roz-o-shab
kaba-e-dil ban gaya hai momin-o-but-kHana aaj
faisla hota nahin hai muddai hai zor par
ru-ba-ru huzzar-e-majlis ke zara bulwana aaj
bhuka pyasa sham se baiTha hun dar par aap ke
jald tanKHwah ab mujhe sarkar se dilwana aaj
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.