mujh pe wo guzri farogh-e-husn-e-jaanan dekh kar
mujh pe vo guzrī faroġh-e-husn-e-jānāñ dekh kar
guzrī thī muusā pe jo kuchh nūr-e-yazdāñ dekh kar
le ke aatā hai qafas merā idhar sayyād kyuuñ
dil taḌap jaatā hai dīvār-e-gulistāñ dekh kar
ba.ad-e-murdan bhī huī mujh ko na kuchh rāhat nasīb
ruuh pur-sadma hai qātil ko pashemāñ dekh kar
mujh ko apnā ḳhāna-e-barbād aa jaatā hai yaad
āshiyāñ bulbul bekas ko vīrāñ dekh kar
ek din sayyād mujh ko bhī dikhā de duur se
kuchh to ho taskīn-e-dīvār-e-gulistāñ dekh kar
ḳhuftagān-e-ḳhāk kī nīndeñ uchaTtī haiñ huzūr
chain se chaliye zarā gor-e-ġharībāñ dekh kar
ye sitam hai ba.ad-e-murdan bhī ki vo zālim hai ḳhush
madfan-e-’ishrat ko pāmāl-e-raqībāñ dekh kar
mujh pe wo guzri farogh-e-husn-e-jaanan dekh kar
guzri thi musa pe jo kuchh nur-e-yazdan dekh kar
le ke aata hai qafas mera idhar sayyaad kyun
dil taDap jata hai diwar-e-gulistan dekh kar
baad-e-murdan bhi hui mujh ko na kuchh rahat nasib
ruh pur-sadma hai qatil ko pasheman dekh kar
mujh ko apna KHana-e-barbaad aa jata hai yaad
aashiyan bulbul bekas ko viran dekh kar
ek din sayyaad mujh ko bhi dikha de dur se
kuchh to ho taskin-e-diwar-e-gulistan dekh kar
KHuftagan-e-KHak ki ninden uchaTti hain huzur
chain se chaliye zara gor-e-ghariban dekh kar
ye sitam hai baad-e-murdan bhi ki wo zalim hai KHush
madfan-e-’ishrat ko pamal-e-raqiban dekh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.