fikr-e-mulak na pahunche wo rifat-e-bashar hai
fikr-e-mulak na pahuñche vo rif.at-e-bashar hai
taufīq rab se jis kā lāhūt mustaqar hai
jhurmaT meñ tābishoñ kī ye kaun jalva-gar hai
be-tāb zauq-e-jalva be-tābī-e-nazar hai
qudsī bhī sar ba-ḳham haiñ vo un kā sañg-e-dar hai
haiñ jannateñ nichhāvar jis par vo un kā ghar hai
ye kahkashāñ bhī un kī adnā sī rahguzar hai
un kā qadam to farq arsh-e-majīd par hai
majbūr hāzirī kī rūdād muḳhtasar hai
zār-o-shikastā dil hai mahrūm bāl-o-par hai
vo nayyar-e-risālat chamkā ba-sad tajallī
ye sub.h kā muqaddar ye qismat sahar hai
ghar beTe jāliyoñ ke nazāre kar rahā huuñ
ye hai mirā tasavvur ye vus.at-e-nazar hai
donoñ jahāñ kī rif.at hāsil hai aaj tujh ko
terā dimāġh sub.h-e-mīlād arsh par hai
haiñ ahl-e-hashr 'ahmad' sab aap kī nazar meñ
lekin har ahl-e-mahshar kī aap par nazar hai
fikr-e-mulak na pahunche wo rifat-e-bashar hai
taufiq rab se jis ka lahut mustaqar hai
jhurmaT mein tabishon ki ye kaun jalwa-gar hai
be-tab zauq-e-jalwa be-tabi-e-nazar hai
qudsi bhi sar ba-KHam hain wo un ka sang-e-dar hai
hain jannaten nichhawar jis par wo un ka ghar hai
ye kahkashan bhi un ki adna si rahguzar hai
un ka qadam to farq arsh-e-majid par hai
majbur haziri ki rudad muKHtasar hai
zar-o-shikasta dil hai mahrum baal-o-par hai
wo nayyar-e-risalat chamka ba-sad tajalli
ye subh ka muqaddar ye qismat sahar hai
ghar beTe jaliyon ke nazare kar raha hun
ye hai mera tasawwur ye wusat-e-nazar hai
donon jahan ki rifat hasil hai aaj tujh ko
tera dimagh subh-e-milad arsh par hai
hain ahl-e-hashr 'ahmad' sab aap ki nazar mein
lekin har ahl-e-mahshar ki aap par nazar hai
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.IX (Pg. 23)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.