ye ajab karishma-kar hai tera turfa nazm-e-bahaar hai
ye ajab karishma-kār hai tirā turfa nazm-e-bahār hai
kahīñ phuul hai kahīñ ḳhaar hai kahīñ nuur hai kahīñ naar hai
kahīñ koī lā.eq-e-sarzanish hai to koī barsar-e-dār hai
ye vafā-shi.āroñ kā khel hai yahī āshiqoñ kā shi.ār hai
ye tere ḳhayāl kī rif.ateñ ye tirī nigāh kī vus.ateñ
ye tire shu.ūr kī azmateñ terā auj arsh vaqār hai
ye lahad se kis kī sadā uThī hai māl-e-ishq-e-bultāñ yahī
na sukūn pā sake jīte-jī na qarār zer-e-mazār hai
na kisī se baat barī kahī na kisī kī baat barī sunī
na kabhī kisī se ḳhalish rahī na kisī se dil meñ ġhubār hai
na kalī khulī hai na gul hañsai na haiñ bulbuloñ ke ye chahchahe
use fasl gul koī kyā kahe ye bahār koī bahār hai
na jahñ meñ jis kā vaqār ho jise ziist tañg ho aar ho
jo musībatoñ kā shikār ho vo ġharīb 'ahmad' zaar hai
ye ajab karishma-kar hai tera turfa nazm-e-bahaar hai
kahin phul hai kahin KHar hai kahin nur hai kahin nar hai
kahin koi laeq-e-sarzanish hai to koi barsar-e-dar hai
ye wafa-shiaron ka khel hai yahi aashiqon ka shiar hai
ye tere KHayal ki rifaten ye teri nigah ki wusaten
ye tere shuur ki azmaten tera auj arsh waqar hai
ye lahad se kis ki sada uThi hai mal-e-ishq-e-bultan yahi
na sukun pa sake jite-ji na qarar zer-e-mazar hai
na kisi se baat bari kahi na kisi ki baat bari suni
na kabhi kisi se KHalish rahi na kisi se dil mein ghubar hai
na kali khuli hai na gul hansai na hain bulbulon ke ye chahchahe
use fasl gul koi kya kahe ye bahaar koi bahaar hai
na jahn mein jis ka waqar ho jise zist tang ho aar ho
jo musibaton ka shikar ho wo gharib 'ahmad' zar hai
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.IX (Pg. 23)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.