husn sau-bar jalwa dikhae
husn sau-bār jalva dikhā.e
tālib-e-dīd bhī taab laa.e
sāmne vo jo be-parda aa.e
hosh ke bhī qadam Dagmagā.e
hai gulistāñ meñ shabnam bhī gul bhī
ik hañsai ek aañsū bahā.e
rose ta.amīr ho ik nasheman
āsmān roz bijlī girā.e
ek be-kas kī turbat pe koī
fātiha ko bhī kyuuñ haath uThā.e
rakh to lī hai banā-e-nasheman
dekhiye raas aa.e na aa.e
ho bhī kyuuñ fikr-e-ḳhurshīd mahshar
sar pe 'ahmad' haiñ ke ke saa.e
husn sau-bar jalwa dikhae
talib-e-did bhi tab lae
samne wo jo be-parda aae
hosh ke bhi qadam Dagmagae
hai gulistan mein shabnam bhi gul bhi
ek hansai ek aansu bahae
rose tamir ho ek nasheman
aasman roz bijli girae
ek be-kas ki turbat pe koi
fatiha ko bhi kyun hath uThae
rakh to li hai bana-e-nasheman
dekhiye ras aae na aae
ho bhi kyun fikr-e-KHurshid mahshar
sar pe 'ahmad' hain ke ke sae
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.IX (Pg. 23)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.