be-shumar insan hain sab ka sarapa ek hai
be-shumār insān haiñ sab kā sarāpā ek hai
sab ke ḳhāl-o-ḳhad judā haiñ aur chehra ek hai
be-hisāb uslūb haiñ iz.hār-e-matlab ke magar
aañkh se girte hue ashkoñ kā lahja ek hai
āḳhirī sachchā.ī kī manzil hai sab ke sāmne
sab kī rāheñ muḳhtalif haiñ sab kā jazba ek hai
maiñ ne maazī aur mustaqbil kī sadiyāñ chhān liiñ
maiñ ne dekhā vaqt ke kiise meñ lamha ek hai
'adl kar aulād-e-ādam ke muqaddar 'adl kar
tishna-lab lākhoñ karoḌoñ aur dariyā ek hai
vus'at-e-'ālam meñ mānind-e-lahad ubhrā huā
justujū ke bahr-e-zulmat meñ jazīra ek hai
sab ke sab faanī haiñ baaqī hai faqat zāt-e-ḳhudā
qātil-o-maqtūl kī qabroñ pe katba ek hai
pyaar se qaa.im hai taḳhlīq-e-do-'ālam kā bharam
is shajar kī an-ginat shāḳheñ haiñ pattā ek hai
jitne chehre haiñ vo ik chehre kā 'aks-o-naqsh haiñ
yuuñ to rishte saikḌoñ haiñ asl rishta ek hai
kyā batā.ūñ kaun sī taḳhsīs mujh ko bhā ga.ī
yuuñ to apne haiñ sab insāñ merā apnā ek hai
kitnī vahdat hai sadāoñ ke tanavvo' meñ 'nadīm'
saaz sab ke apne-apne sab kā naġhma ek hai
be-shumar insan hain sab ka sarapa ek hai
sab ke KHal-o-KHad juda hain aur chehra ek hai
be-hisab uslub hain izhaar-e-matlab ke magar
aankh se girte hue ashkon ka lahja ek hai
aaKHiri sachchai ki manzil hai sab ke samne
sab ki rahen muKHtalif hain sab ka jazba ek hai
main ne mazi aur mustaqbil ki sadiyan chhan lin
main ne dekha waqt ke kise mein lamha ek hai
'adl kar aulad-e-adam ke muqaddar 'adl kar
tishna-lab lakhon karoDon aur dariya ek hai
wus'at-e-'alam mein manind-e-lahad ubhra hua
justuju ke bahr-e-zulmat mein jazira ek hai
sab ke sab fani hain baqi hai faqat zat-e-KHuda
qatil-o-maqtul ki qabron pe katba ek hai
pyar se qaim hai taKHliq-e-do-'alam ka bharam
is shajar ki an-ginat shaKHen hain patta ek hai
jitne chehre hain wo ek chehre ka 'aks-o-naqsh hain
yun to rishte saikDon hain asl rishta ek hai
kya bataun kaun si taKHsis mujh ko bha gai
yun to apne hain sab insan mera apna ek hai
kitni wahdat hai sadaon ke tanawwo' mein 'nadim'
saz sab ke apne-apne sab ka naghma ek hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.