duniya hai ek dasht to gulzar aap hain
duniyā hai ek dasht to gulzār aap haiñ
us tīrgī meñ matla’-e-anvār aap haiñ
ye bhī hai sach ki aap kī guftār hai jamīl
ye bhī hai haq ki sāhib-e-kirdār aap haiñ
ho laakh āftāb-e-qayāmat kī dhuup tez
mere liye to sāya-e-dīvār aap haiñ
ye faḳhr kam nahīñ ki maiñ huuñ jis kī gard-e-rah
us qāfile ke qāfila-sālār aap haiñ
darbār-e-shah meñ bhī maiñ agar sar-kashīda huuñ
us kā ye sabab mirā pindār aap haiñ
mujh ko kisī se hājat-e-chāra-garī nahīñ
har ġham mujhe 'azīz ki ġham-ḳhvār aap haiñ
mujh par ba-jurm-e-ġhurbat-o-dāman-darīdgī
sab log ḳhanda-zan haiñ to gul-bār aap haiñ
hai mere lafz-lafz meñ gar husn-o-dil-kashī
us kā ye raaz hai mirā me'yār aap haiñ
insān māl-o-zar ke junūñ meñ haiñ mubtalā
us hashr meñ 'nadīm' ko darkār aap haiñ
duniya hai ek dasht to gulzar aap hain
us tirgi mein matla’-e-anwar aap hain
ye bhi hai sach ki aap ki guftar hai jamil
ye bhi hai haq ki sahib-e-kirdar aap hain
ho lakh aaftab-e-qayamat ki dhup tez
mere liye to saya-e-diwar aap hain
ye faKHr kam nahin ki main hun jis ki gard-e-rah
us qafile ke qafila-salar aap hain
darbar-e-shah mein bhi main agar sar-kashida hun
us ka ye sabab mera pindar aap hain
mujh ko kisi se hajat-e-chaara-gari nahin
har gham mujhe 'aziz ki gham-KHwar aap hain
mujh par ba-jurm-e-ghurbat-o-daman-daridgi
sab log KHanda-zan hain to gul-bar aap hain
hai mere lafz-lafz mein gar husn-o-dil-kashi
us ka ye raaz hai mera me'yar aap hain
insan mal-o-zar ke junun mein hain mubtala
us hashr mein 'nadim' ko darkar aap hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.