puchha jo kisi ne ahqar se kyun shaghl-e-suKHan ko chhoD diya
puchha jo kisi ne ahqar se kyun shaghl-e-suKHan ko chhoD diya
Ahqar Bihari
MORE BYAhqar Bihari
pūchhā jo kisī ne 'ahqar' se kyuuñ shaġhl-e-suḳhan ko chhoḌ diyā
bole ki gayā jab mausam-e-gul bulbul ne chaman ko chhoḌ diyā
chauñke na kisī din ḳhvāb se ham ġhaflat meñ basar kī umr apnī
ai vā-e-ġhazab kab aañkh khulī jab ruuh ne tan ko chhoḌ diyā
jab bāġh-e-jināñ meñ bū terī ai raunaq-e-gulshan phail ga.ī
bulbul ne guloñ se muñh moḌā phūloñ ne chaman ko chhoḌ diyā
ai hubb-e-vatan allāh se Dar bhūlī huī bāteñ yaad na kar
ab terī balā se bū meñ base jab tū ne chaman ko chhoḌ diyā
aa.e haiñ ajab andāz se vo Daale hue ruḳh par bāloñ ko
zulfeñ jo haTe.īñ ik shor huā sūraj ne gahan ko chhoḌ diyā
ab aañkh kisī par kyā Dāleñ jañchtā hī nahīñ nazroñ meñ koī
āñkhoñ pe tirī sadqa kar ke jañgal meñ hiran ko chhoḌ diyā
puchha jo kisi ne 'ahqar' se kyun shaghl-e-suKHan ko chhoD diya
bole ki gaya jab mausam-e-gul bulbul ne chaman ko chhoD diya
chaunke na kisi din KHwab se hum ghaflat mein basar ki umr apnī
ai wa-e-ghazab kab aankh khuli jab ruh ne tan ko chhoD diya
jab bagh-e-jinan mein bu teri ai raunaq-e-gulshan phail gai
bulbul ne gulon se munh moDa phulon ne chaman ko chhoD diya
ai hubb-e-watan allah se Dar bhuli hui baaten yaad na kar
ab teri bala se bu mein base jab tu ne chaman ko chhoD diya
aae hain ajab andaz se wo Dale hue ruKH par baalon ko
zulfen jo haTein ek shor hua suraj ne gahan ko chhoD diya
ab aankh kisi par kya Dalen janchta hi nahin nazron mein koi
aankhon pe teri sadqa kar ke jangal mein hiran ko chhoD diya
- Book : Bihar Men Urdu Ki Sufiyana Shairi (Pg. 180)
- Author : Mohammad Tayyab Abdali
- Publication : Israr Karimi Press, Allahabad (1988)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.