log mahfil mein hamein ai ishwa-gar dekha kae
log mahfil meñ hameñ ai ishva-gar dekhā ka.e
ham alag baiThe hue sab kī nazar dekhā ka.e
ham ne to dekhā thā ik shab ḳhvāb un ke vasl kā
aur ta.abīr us kī dushman umr bhar dekhā ka.e
na sahī qaid meñ aakar mujhe rāhat na sahī
tere chakkar se to ai gardish-e-daurāñ niklā
mazālim hī sahī vābastagī to un se qaa.em hai
ġhanīmat hai ki vo ham ko kisī qābil samajhte haiñ
kHudā-vandān-e-ulfat kā bhī ulTā kārḳhāna hai
ki ḳhud dil māñgte haiñ aur hameñ saa.el samajhte haiñ
na daftar khol tū ai nāma-bar itnā batā mujh ko
gayā thā jis ġharaz se tū vañh vo baat bhī Thahrī
qiyāmat bhī usi din 'ahsan' apnā sar uThā.egī
hamārī saañs jis din chalte chalte ik ghaḌī Thahrī
bahut baḌh chaḌh ke da.ave chaudhvīñ kā chāñd karatā hai
hameñ merī qasam uThnā zarā tum bhī sañvar jaanā
girā.e chaar aañsū jis ne mujh be-kas kī turbat par
samajhtā huuñ ki us ne motiyoñ ke haar Daale haiñ
huā chaak jis vaqt dāmān-e-hastī
laggā phir na paivand us pairahan meñ
log mahfil mein hamein ai ishwa-gar dekha kae
hum alag baiThe hue sab ki nazar dekha kae
hum ne to dekha tha ek shab KHwab un ke wasl ka
aur tabir us ki dushman umr bhar dekha kae
na sahi qaid mein aakar mujhe rahat na sahi
tere chakkar se to ai gardish-e-dauran nikla
mazalim hi sahi wabastagi to un se qaem hai
ghanimat hai ki wo hum ko kisi qabil samajhte hain
kHuda-wandan-e-ulfat ka bhi ulTa karKHana hai
ki KHud dil mangte hain aur hamein sael samajhte hain
na daftar khol tu ai nama-bar itna bata mujh ko
gaya tha jis gharaz se tu wanh wo baat bhi Thahri
qiyamat bhi usi din 'ahsan' apna sar uThaegi
hamari sans jis din chalte chalte ek ghaDi Thahri
bahut baDh chaDh ke dawe chaudhwin ka chand karata hai
hamein meri qasam uThna zara tum bhi sanwar jaana
girae chaar aansu jis ne mujh be-kas ki turbat par
samajhta hun ki us ne motiyon ke haar Dale hain
hua chaak jis waqt daman-e-hasti
lagga phir na paiwand us pairahan mein
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.I (Pg. 30)
- Author : Irfan Abbasi
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.