aalam-e-taswwur mein uski jalwa-arai
'ālam-e-tasvvur meñ us kī jalva-ārā.ī
rashk-e-sub.h-e-nau Thahrī merī shām-e-tanhā.ī
ġham ke un añdheroñ meñ yaad jab kiyā us ko
ek raushnī mujh ko duur se nazar aa.ī
gosh-e-hosh se suniye sab sunā.ī detā hai
gūñjte haiñ sannāTe boltī hai tanhā.ī
’ālam-e-yaqīñ meñ bhī ik gumāñ sā thā 'ahsan'
jab gumāñ baḌhā had se manzil-e-yaqīñ paa.ī
'alam-e-taswwur mein us ki jalwa-arai
rashk-e-subh-e-nau Thahri meri sham-e-tanhai
gham ke un andheron mein yaad jab kiya us ko
ek raushni mujh ko dur se nazar aai
gosh-e-hosh se suniye sab sunai deta hai
gunjte hain sannaTe bolti hai tanhai
’alam-e-yaqin mein bhi ek guman sa tha 'ahsan'
jab guman baDha had se manzil-e-yaqin pai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.