ai aks-e-jamal-e-lam-yazali ai sham-e’-tajalla kya kahna
ai 'aks-e-jamāl-e-lam-yazalī ai sham-e’-tajallā kyā kahnā
ai nūr-e-hijābāt-e-fitrat ai husn-e-sarāpā kyā kahnā
ye sahr ye fitna ye jaadū ye nāz-o-karishma kyā kahnā
āñkhoñ meñ raho har dam merī phir aañkh se parda kyā kahnā
aa jaa.e sarāpā āñkhoñ meñ ḳhud sāmne jalva raqs kare
us 'ishq kī manzil kyā kahnā us 'ishq kā sajda kyā kahnā
shābāsh jabīn-e-shauq tujhe sad āfrīñ ai jazb-e-kāmil
taḌpā diyā us ke jalvoñ ko be-tāb nazāra kyā kahnā
bīmār kiyā lazzat baḳhshī jo ḳhud ho davā vo dard diyā
ai chāra-gar bazm-e-hastī ai rashk-e-masīhā kyā kahnā
ḳhud fart-e-'aqīdat se lab par 'manzūr' ye kalima aatā hai
thāme jo tumhār dāman ko us baḳht-e-rasā kā kyā kahnā
ai 'aks-e-jamal-e-lam-yazali ai sham-e’-tajalla kya kahna
ai nur-e-hijabaat-e-fitrat ai husn-e-sarapa kya kahna
ye sahr ye fitna ye jadu ye naz-o-karishma kya kahna
aankhon mein raho har dam meri phir aankh se parda kya kahna
aa jae sarapa aankhon mein KHud samne jalwa raqs kare
us 'ishq ki manzil kya kahna us 'ishq ka sajda kya kahna
shabash jabin-e-shauq tujhe sad aafrin ai jazb-e-kaamil
taDpa diya us ke jalwon ko be-tab nazara kya kahna
bimar kiya lazzat baKHshi jo KHud ho dawa wo dard diya
ai chaara-gar bazm-e-hasti ai rashk-e-masiha kya kahna
KHud fart-e-'aqidat se lab par 'manzur' ye kalima aata hai
thame jo tumhaar daman ko us baKHt-e-rasa ka kya kahna
- Book : Kalaam-e-Manzoor Aarfi (Edited by Hasan Nawaz Shah) (Pg. 63)
- Publication : Makhduma Amir-Jan Library, Narali (2024)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.