ai dil janab-e-quds mein tu kab rasa hua
ai dil janab-e-quds mein tu kab rasa hua
Shah Niyaz Ahmad Barelvi
MORE BYShah Niyaz Ahmad Barelvi
ai dil janāb-e-quds meñ tū kab rasā huā
duniyā kī hai īñdhan meñ abhī tū phañsā huā
gunjā.ish-e-ḳhayāl tilism-e-jahāñ kahāñ
āñkhoñ meñ jis ke jalva-e-haq hai basā huā
ḳhatre ko hubb-e-jāh ke dil se nikāliye
ye be-tarah kā chor hai ghar meñ dhañsā huā
me'yār-e-ishaq-e-pur-zar-e-himmat lagā ke dekh
pakkā jo hai tilā hai kasauTī kasā huā
ghar ko tu apne hastī ke vīrān kar 'niyāz'
hastī se haq ke phir vo rahegā basā huā
ai dil janab-e-quds mein tu kab rasa hua
duniya ki hai indhan mein abhi tu phansa hua
gunjaish-e-KHayal tilism-e-jahan kahan
aankhon mein jis ke jalwa-e-haq hai basa hua
KHatre ko hubb-e-jah ke dil se nikaliye
ye be-tarah ka chor hai ghar mein dhansa hua
me'yar-e-ishaq-e-pur-zar-e-himmat laga ke dekh
pakka jo hai tila hai kasauTi kasa hua
ghar ko tu apne hasti ke viran kar 'niyaz'
hasti se haq ke phir wo rahega basa hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.